Shayari
sailaab-e-tabassum se darmaan-e-jaraahat kar
TukDe dil-e-bismil ke aaluda-e-khun kab tak
dil ki barbaadiyon kaa ronaa kyaa
aise kitne hi vaaqiaat hue
دل کی بربادیوں کا رونا کیا
ایسے کتنے ہی واقعات ہوئے
दिल की बर्बादियों का रोना क्या
ऐसे कितने ही वाक़िआ'त हुए

sailaab-e-tabassum se darmaan-e-jaraahat kar
TukDe dil-e-bismil ke aaluda-e-khun kab tak
vo savaal-e-lutf par patthar na barsaaein to kyuun
un ko parvaa-e-shikast-e-kaasa-e-saail nahin
sajde miri jabin ke nahin is qadar haqir
kuchh to samajh rahaa huun tire aastaan ko main
DhunDhne ko tujhe o mere na milne vaale
vo chalaa hai jise apnaa bhi pataa yaad nahin
nazar karam ki faraavaaniyon pe paDti hai
phir apne daaman-e-khaaki ko dekhtaa huun main
husn ne dast-e-karam khinch liyaa hai kyaa khuub
ab mujhe bhi havas-e-lazzat-e-aazaar nahin
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
na ho ehsaas to saaraa jahaan hai be-his-o-murda
gudaaz-e-dil ho to dukhti ragein milti hain patthar mein
barsaat kaa baadal to divaana hai kyaa jaane
kis raah se bachnaa hai kis chhat ko bhigonaa hai