Shayari
chingaariyaan na Daal mire dil ke ghaao mein
main khud hi jal rahaa huun ghamon ke alaao mein
ehsaas mein shadid talaatum ke baavajud
chup huun mujhe sukun mayassar ho jis tarah
احساس میں شدید تلاطم کے باوجود
چپ ہوں مجھے سکون میسر ہو جس طرح
एहसास में शदीद तलातुम के बावजूद
चुप हूँ मुझे सुकून मयस्सर हो जिस तरह

main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
us ko bhi to jaa kar dekho us kaa haal bhi mujh saa hai
chup chup rah kar dukh sahne se to insaan mar jaataa hai
log na jaane kaisi kaisi baatein karte hain
mere paas to meraa saayaa leTaa hai chup-chaap
chehre ko tere dekh ke khaamosh ho gayaa
aisaa nahin savaal tiraa laa-javaab thaa
gulon ne kaanTon ke chheDne par sivaa khamoshi ke dam na maaraa
sharif uljheinge gar kisi se to phir sharaafat kahaan rahegi
rone se 'khaaksaar' ki sotaa nahin hai koi
us khaanumaan-kharaab ko chupkaa khudaa kare