Shayari
kisi bhi darja ri'aayat nahin hai vahshat mein
bichhaD ke us se tumhein qahqahe lagaane the
manaayaa jaa rahaa hai gham tumhaaraa
puraani film dekhi jaa rahi hai
منایا جا رہا ہے غم تمہارا
پرانی فلم دیکھی جا رہی ہے
मनाया जा रहा है ग़म तुम्हारा
पुरानी फ़िल्म देखी जा रही है

kisi bhi darja ri'aayat nahin hai vahshat mein
bichhaD ke us se tumhein qahqahe lagaane the
hamaare khel ki guDiyaa tumhi ho
tumhaare khel kaa guDDaa nayaa hai
khuun se mazlum ke ho to gae raushan charaagh
raushni aisi hui phir shahr andhaa ho gayaa
faqat ye lakDi nahin hai tumhaari baisaakhi
shajar ke haath kaTe hain ise banaane mein
us ne khat mein banaaein hain aansu
main bhi ab siskiyaan banaaungaa
'ajib Dhang se mujh ko mili hai aazaadi
parinda pinjre mein pinjra havaa mein rakkhaa gayaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
bataa khud ko bhalaa kaise sanvaarun
mujhe gham aainon mein dikh rahaa hai
us pe qurbaan ki jis ne tiri aavaaz suni
sadqe us aankh ke jis ne tiraa jalva dekhaa