Shayari
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
'mir'-o-'ghaalib' bhi rahe ishq mein sarshaar miyaan
ab bhi fankaaron ke jiine kaa sahaaraa hai yahi
میرؔ و غالبؔ بھی رہے عشق میں سرشار میاں
اب بھی فنکاروں کے جینے کا سہارا ہے یہی
'मीर'-ओ-'ग़ालिब' भी रहे इश्क़ में सरशार मियाँ
अब भी फ़नकारों के जीने का सहारा है यही

sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
main ujaale ko mohabbat kaa khudaa likhtaa huun
vo andhere hi se maanus huaa jaataa hai
mujhe gum-shuda dil kaa gham hai to ye hai
ki is mein bhari thi mohabbat kisi ki
ishq mein ye majburi to ho jaati hai
duniyaa ghair-zaruri to ho jaati hai