Shayari
tumhaare hijr mein kyuun zindagi na mushkil ho
tumhin jigar ho tumhin jaan ho tumhin dil ho
A
Afsar Allahabadimujhe gum-shuda dil kaa gham hai to ye hai
ki is mein bhari thi mohabbat kisi ki
مجھے گم شدہ دل کا غم ہے تو یہ ہے
کہ اس میں بھری تھی محبت کسی کی
मुझे गुम-शुदा दिल का ग़म है तो ये है
कि इस में भरी थी मोहब्बत किसी की
tumhaare hijr mein kyuun zindagi na mushkil ho
tumhin jigar ho tumhin jaan ho tumhin dil ho
na ho yaa rab aisi tabiat kisi ki
ki hans hans ke dekhe musibat kisi ki
khabar deti hai yaad kartaa hai koi
jo baandhaa hai hichki ne taar aate aate
hamaaraa koh-e-gham kyaa sang-e-khaaraa hai jo kaT jaataa
agar mar mar ke zinda kohkan hotaa to kyaa hotaa
hasinon ki donon adaaein hain dilbar
kisi ki hayaa to sharaarat kisi ki
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
koi pursaan nahin ghamon kaa 'zafar'
dekhne mein hazaar rishte hain
bahut achchhaa huaa aansu na nikle meri aankhon se
bapaa mahfil mein ik taaza qayaamat aur ho jaati