Shayari
muddat hui us ko ki miri khalvat-e-shab mein
paighaam jo laai thi sabaa yaad hai ab tak
shaanon pe mire vasl ki shab khaas adaa se
rahti thi tiri zulf-e-rasaa yaad hai ab tak
شانوں پہ مرے وصل کی شب خاص ادا سے
رہتی تھی تری زلف رسا یاد ہے اب تک
शानों पे मिरे वस्ल की शब ख़ास अदा से
रहती थी तिरी ज़ुल्फ़-ए-रसा याद है अब तक

shama bujh kar rah gai parvaana jal kar rah gayaa
yaadgaar-e-husn-o-ishq ik daagh dil par rah gayaa
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
koi viraani si viraani hai
dasht ko dekh ke ghar yaad aayaa
yaad aai hai to phir TuuT ke yaad aai hai
koi guzri hui manzil koi bhuli hui dost
kaun suntaa hai bhikaari ki sadaaein is liye
kuchh zarifaana latife yaad kar lete hain ham
yuun barasti hain tasavvur mein puraani yaadein
jaise barsaat ki rim-jhim mein samaan hotaa hai