Shayari
ik roz ik nadi ke kinaare mileinge ham
ik dusre se apnaa pataa puchhte hue
mar rahaa huun to yaad aataa hai
jaane kitnon ki zindagi thaa main
مر رہا ہوں تو یاد آتا ہے
جانے کتنوں کی زندگی تھا میں
मर रहा हूँ तो याद आता है
जाने कितनों की ज़िंदगी था मैं

kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
gum rahaa huun tire khayaalon mein
tujh ko aavaaz umr bhar di hai
kartaa rahaa lughaat ki tahqiq umr bhar
aamaal-naama nuskha-e-farhang ho gayaa
hayaat aaj bhi kaniz hai huzur-e-jabr mein
jo zindagi ko jiit le vo zindagi kaa mard hai