Shayari
muflison ki basti ko bekasi ne gheraa hai
har taraf udaasi hai zulmaton kaa Deraa hai
S
Shahid Ghazitujhe is gaanv se jaanaa hai ik din
haveli kyuun banaanaa chaahtaa hai
تجھے اس گاؤں سے جانا ہے اک دن
حویلی کیوں بنانا چاہتا ہے
तुझे इस गाँव से जाना है इक दिन
हवेली क्यूँ बनाना चाहता है
muflison ki basti ko bekasi ne gheraa hai
har taraf udaasi hai zulmaton kaa Deraa hai
sau diye jalaae hain doston ke aangan mein
phir bhi mere aangan mein har taraf andheraa hai
zulm sah ke bhi main ne honT si liye 'ghaazi'
ek zarf un kaa hai ek zarf meraa hai
maajhi ne Duboyaa hai lahron ne uchhaalaa hai
gardish ke samundar kaa dastur niraalaa hai
is rang badalti duniyaa mein pahchaan baDi hi mushkil hai
ye kis ko khabar hai ai 'shaahid' kis bhes mein kaun luTeraa hai
teri fayyaazi ke the charche bahut main ne sune
phir bhi tere mai-kade se tishna-kaam aayaa huun main
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
shab biiti chaand bhi Duub chalaa ab paanv dabaanaa band karo
uTTho jaldi aaTaa gundho tumhein naashta nahin banaanaa kyaa
vo khafaa hain to rahein ham ko manaanaa bhi nahin
un ko aanaa bhi nahin ham ko bulaanaa bhi nahin
is shahr mein kisi ko mayassar na thaa sukun
ronaa kisi ko dil kaa kisi ko anaa kaa thaa
aag aisi hai kuchh us mein ki bujhaanaa hai muhaal
barf aisi hai ki pighlaa nahin saktaa koi