Shayari
saas aa jaae to kyuun ghar se chipak jaati hai
ye muamma hai samajhne kaa na samjhaane kaa
shab biiti chaand bhi Duub chalaa ab paanv dabaanaa band karo
uTTho jaldi aaTaa gundho tumhein naashta nahin banaanaa kyaa
شب بیتی چاند بھی ڈوب چلا اب پاؤں دبانا بند کرو
اٹھو جلدی آٹا گوندھو تمہیں ناشتہ نہیں بنانا کیا
शब बीती चाँद भी डूब चला अब पाँव दबाना बंद करो
उट्ठो जल्दी आटा गूंधो तुम्हें नाश्ता नहीं बनाना क्या

saas aa jaae to kyuun ghar se chipak jaati hai
ye muamma hai samajhne kaa na samjhaane kaa
yahaan ham baiTh kar chaae ke ik cup ko taraste hain
vahaan sab le ke biscuit cake ke ambaar baiThe hain
apni shokhi se na baaz aae tum ab bhi 'hammaad'
shaikh se puchh liyaa raasta mai-khaane kaa
naukar huun daamaad nahin huun kartaa huun ghar ke sab kaam
thakan se haal kharaab hai meraa piilaa ho gayaa maan kaa laal
is ki har ek baat main chupke se maan letaa huun
jis ko ho jaan o dil aziiz us ke khilaaf jaae kyuun
biivi ki zabaan-daraazi se jhunjhlaate ho ghabraate ho
jab shaadi kar hi baiThe ho to phir ab shor machaanaa kyaa
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
maah-e-nau dekhne tum chhat pe na jaanaa hargiz
shahr mein eid ki taarikh badal jaaegi
dil ek sadiyon puraanaa udaas mandir hai
umiid tarsaa huaa pyaar dev-daasi kaa
be-bulaae hue jaanaa mujhe manzur nahin
un kaa vo taur nahin meraa ye dastur nahin
kis tarah milein koi bahaanaa nahin miltaa
ham jaa nahin sakte unhein aanaa nahin miltaa