Shayari
dil mein rakhtaa hai na palkon pe biThaataa hai mujhe
phir bhi ik shakhs mein kyaa kyaa nazar aataa hai mujhe
jaagtaa huun main ek akelaa duniyaa soti hai
kitni vahshat hijr ki lambi raat mein hoti hai
جاگتا ہوں میں ایک اکیلا دنیا سوتی ہے
کتنی وحشت ہجر کی لمبی رات میں ہوتی ہے
जागता हूँ मैं एक अकेला दुनिया सोती है
कितनी वहशत हिज्र की लम्बी रात में होती है

dil mein rakhtaa hai na palkon pe biThaataa hai mujhe
phir bhi ik shakhs mein kyaa kyaa nazar aataa hai mujhe
chal chal ke thak gayaa hai ki manzil nahin koi
kyuun vaqt ek moD pe Thahraa huaa saa hai
zabaan mili bhi to kis vaqt be-zabaanon ko
sunaane ke liye jab koi daastaan na rahi
safar kaa nashsha chaDhaa hai to kyuun utar jaae
maza to jab hai koi lauT ke na ghar jaae
har taraf apne ko bikhraa paaoge
aainon ko toD ke pachhtaaoge
bataaun kis tarah ahbaab ko aankhein jo aisi hain
ki kal palkon se TuuTi niind ki kirchein sameTin hain
jise samjhaa hai tu ai sang-dil mai-khvaariyaan meri
tire khalvat-kade mein hain vo shab-bedaariyaan meri
khud apnaa saath bhi chubhne lagaa thaa
ajab tanhaai ki aadat hui thi
ham ne apni si ki bahut lekin
maraz-e-ishq kaa ilaaj nahin
main kashti mein akelaa to nahin huun
mire hamraah dariyaa jaa rahaa hai
jism ne ruh-e-ravaan se ye kahaa turbat mein
ab mujhe chhoD ke tanhaa tu kahaan jaati hai
main apne saath rahtaa huun hamesha
akelaa huun magar tanhaa nahin huun