Shayari
ai khizaan bhaag jaa chaman se shitaab
varna fauj-e-bahaar aave hai
ham chhanaalon ki chhoD di yaari
nafs ko maar kar kyaa murdaa
ہم چھنالوں کی چھوڑ دی یاری
نفس کو مار کر کیا مردا
हम छनालों की छोड़ दी यारी
नफ़्स को मार कर क्या मुर्दा

ai khizaan bhaag jaa chaman se shitaab
varna fauj-e-bahaar aave hai
kabhu bimaar sun kar vo ayaadat ko to aataa thaa
hamein apne bhale hone se vo aazaar behtar thaa
phaDkun to sar phaTe hai na phaDkun to ji ghaTe
tang is qadar diyaa mujhe sayyaad ne qafas
bul-havas go karein tere lab-e-shirin par hujum
talkh mat ho ki miThaai se magas aati hai
meraa maashuq hai mazon mein bharaa
kabhu miThaa kabhu salonaa hai
sau baar taar taar kiyaa to bhi ab talak
saabit vahi hai dast o garebaan ki dosti
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ghash khaa ke 'daagh' yaar ke qadmon pe gir paDaa
behosh ne bhi kaam kiyaa hoshiyaar kaa
sahraa pe buraa vaqt mire yaar paDaa hai
divaana kai roz se bimaar paDaa hai
bahan kaa pyaar maan ki maamtaa do chikhti aankhein
yahi tohfe the vo jin ko main aksar yaad kartaa thaa
tiis din yaar ab na aaegaa
is mahine kaa naam khaali hai
koThe pe chehra-e-pur-nur dikhaayaa sar-e-shaam
yaar se rajat-e-khurshid kaa ejaaz huaa