Shayari
shukr kiije ki maut hai varna
zindagi se hamein bachaataa kaun
siyaah aankhon ki rangat ki ik jhalak ke liye
tiri talaash mein surma-farosh rahte hain
سیاہ آنکھوں کی رنگت کی اک جھلک کے لئے
تری تلاش میں سرمہ فروش رہتے ہیں
स्याह आँखों की रंगत की इक झलक के लिए
तिरी तलाश में सुरमा-फ़रोश रहते हैं

shukr kiije ki maut hai varna
zindagi se hamein bachaataa kaun
hamaare ghar mein ye tahzib ab bhi zinda hai
buzurg bolein to bachche khamosh rahte hain
ho bhaTakne kaa jise shauq mire saath chale
jo ho manzil kaa talabgaar palaT jaae abhi
ham se mil kar dekhiye achchhaa lagegaa aap ko
aadmiyyat ke abhi tak an-chhue pahlu hain ham
niind aai to dhuup khile tak soeinge
khvaabon ki fehrist banaa kar baiThe hain
tum se Takraae to huaa maa'lum
haadse khushnumaa bhi hote hain