Shayari
mujhe har shaam ik sunsaan jangal khinch letaa hai
aur is ke baa'd phir khuni balaaein raqs karti hain
ik shakhs teri bazm se khaamosh uTh gayaa
shaayad ye baat tere liye sochne ki thi
اک شخص تیری بزم سے خاموش اٹھ گیا
شاید یہ بات تیرے لیے سوچنے کی تھی
इक शख़्स तेरी बज़्म से ख़ामोश उठ गया
शायद ये बात तेरे लिए सोचने की थी

vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
jinhein ye fikr nahin sar rahe rahe na rahe
vo sach hi kahte hain jab bolne pe aate hain
fikr-e-rasaa pe jis ki khulein aasmaan ke raaz
aisaa koi 'adil' qad-aavar nahin rahaa
is qadar Duube gunaah-e-ishq mein tere habib
sochte hain jaaeinge kis munh se tauba ki taraf
firaaq mausam ki chilmanon se visaal lamhe chamak uTheinge
udaas shaamon mein kaaghaz-e-dil pe guzre vaqton ke baab likhnaa
asaas-e-jism uThaaun nae sire se magar
ye sochtaa huun ki miTTi miri kharaab to ho