Shayari
ik shakhs teri bazm se khaamosh uTh gayaa
shaayad ye baat tere liye sochne ki thi
mujhe har shaam ik sunsaan jangal khinch letaa hai
aur is ke baa'd phir khuni balaaein raqs karti hain
مجھے ہر شام اک سنسان جنگل کھینچ لیتا ہے
اور اس کے بعد پھر خونی بلائیں رقص کرتی ہیں
मुझे हर शाम इक सुनसान जंगल खींच लेता है
और इस के बाद फिर ख़ूनी बलाएँ रक़्स करती हैं

vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
maarka garm to ho lene do khun-rezi kaa
pahle shamshir ke niche hamin jaa baiTheinge
nahin vo sham-e-mohabbat rahi to phir 'aasim'
ye kis duaa se mire ghar mein raushni si hai
gul kiyaa jis ne vo thaa aur magar
shama ne shikva havaaon se kiyaa
ghazal mein jab talak ehsaas ki shiddat na ho shaamil
faqat alfaaz ki kaarigari mahsus hoti hai
paayaa tabib ne jo tiri zulf kaa mariz
shaamil davaa mein mushk-e-shab-e-taar kar diyaa