Shayari
kam se kam duniyaa se itnaa miraa rishta ho jaae
koi meraa bhi buraa chaahne vaalaa ho jaae
main kisi dusre pahlu se use kyuun sochun
yuun bhi achchhaa hai vo jaisaa nazar aataa hai mujhe
میں کسی دوسرے پہلو سے اسے کیوں سوچوں
یوں بھی اچھا ہے وہ جیسا نظر آتا ہے مجھے
मैं किसी दूसरे पहलू से उसे क्यूँ सोचूँ
यूँ भी अच्छा है वो जैसा नज़र आता है मुझे

kam se kam duniyaa se itnaa miraa rishta ho jaae
koi meraa bhi buraa chaahne vaalaa ho jaae
kis tarah aae hain is pahli mulaaqaat talak
aur mukammal hai judaa hone ki tayyaari bhi
rukaa mahfil mein itni der tak main
ujaalon kaa buDhaapaa dekh aayaa
vo basti naa-khudaaon ki thi lekin
mile kuchh Dubne vaale vahaan bhi
jaise ye mez miTTi kaa haathi ye phuul
ek kone mein ham bhi hain rakkhe hue
vahaan iid kyaa vahaan diid kyaa
jahaan chaand raat na aai ho
jinhein ye fikr nahin sar rahe rahe na rahe
vo sach hi kahte hain jab bolne pe aate hain
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
be-ilm shaairon kaa gila kyaa hai ai 'munir'
hai ahl-e-ilm ko tiraa tarz-e-bayaan pasand
maango samundaron se na saahil ki bhiik tum
haan fikr o fan ke vaaste gahraai maang lo
gulaabon ke honTon pe lab rakh rahaa huun
use der tak sochnaa chaahtaa huun
yakaayak loud-speaker se gunjaa film kaa naghma
vatan ki aabru khatre mein hai hushiyaar ho jaao