Shayari
barbaad gulistaan karne ko bas ek hi ullu kaafi thaa
har shaakh pe ullu baiThaa hai anjaam-e-gulistaan kyaa hogaa
baDe hausle the pahle baDe valvale the pahle
jo amal kaa vaqt aayaa hue aap nau-do-gyaaraa
بڑے حوصلے تھے پہلے بڑے ولولے تھے پہلے
جو عمل کا وقت آیا ہوئے آپ نو دو گیارا
बड़े हौसले थे पहले बड़े वलवले थे पहले
जो अमल का वक़्त आया हुए आप नौ-दो-ग्यारा

barbaad gulistaan karne ko bas ek hi ullu kaafi thaa
har shaakh pe ullu baiThaa hai anjaam-e-gulistaan kyaa hogaa
har mulk is ke aage jhuktaa hai ehtiraaman
har mulk kaa hai father hindostaan hamaaraa
abhi to hazrat-e-vaaiz mazammat mai ki karte hain
agar mai-khaane mein un kaa guzar hogaa to kyaa hogaa
bhalaa 'shauq' dekhun kyunkar rukh-e-pur-shikan kaa manzar
mire daant hi kahaan hain jo main khaa sakun chhuaaraa
hamaare rahbaraan-e-qaum-o-millat 'shauq' kyaa kam hain
vatan mein gar na koi barber hogaa to kyaa hogaa
tu samajhtaa hai gar fuzul mujhe
kar ke himmat zaraa saa bhuul mujhe
hijr ko hausla aur vasl ko fursat darkaar
ik mohabbat ke liye ek javaani kam hai
aalam aalam ishq-o-junun hai duniyaa duniyaa tohmat hai
dariyaa dariyaa rotaa huun main sahraa sahraa vahshat hai
subut-e-ishq ki ye bhi to ek surat hai
ki jis se pyaar karein us pe tohmatein bhi dharein
ye hausla bhi kisi roz kar ke dekhungi
agar main zakhm huun us kaa to bhar ke dekhungi
saraa-e-ishq mein baiThe hue hain dil vaale
aur ek aakhiri tohmat ke intizaar mein hain