Shayari
bahut muzir dil-e-aashiq ko aah hoti hai
isi havaa se ye kashti tabaah hoti hai
charaagh-e-daagh main din se jalaae baiThaa huun
sunaa hai jo shab-e-furqat siyaah hoti hai
چراغ داغ میں دن سے جلائے بیٹھا ہوں
سنا ہے جو شب فرقت سیاہ ہوتی ہے
चिराग़-दाग़ मैं दिन से जलाए बैठा हूँ
सुना है जो शब-ए-फ़ुर्क़त सियाह होती है

bahut muzir dil-e-aashiq ko aah hoti hai
isi havaa se ye kashti tabaah hoti hai
mujh se kyaa puchhte ho daagh hain dil mein kitne
tum ko ayyaam-e-judaai kaa shumaar aataa hai
mauj-e-dariyaa se balaa ki chaahiye kashti mujhe
ho jo bilkul naa-muvaafiq vo havaa paidaa karun
dete phirte the hasinon ki gali mein aavaaz
kabhi aaina-farosh-e-dil-e-hairaan ham the
har taraf hashr mein jhankaar hai zanjiron ki
un ki zulfon ke giraftaar chale aate hain
muntazir tere hain chashm-e-khun-fishaan khole hue
baiThe hain dil bechne vaale dukaan khole hue
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
shab-e-intizaar aakhir kabhi hogi mukhtasar bhi
ye charaagh bujh rahe hain mire saath jalte jalte
tu muskuraati rahe hai ye aarzu meri
main teri ankhon ko barsaat de nahin saktaa
tiri nigaah bani aaina miri khaatir
main khud ko dekh ke kal raat muskuraane lagaa