Shayari
mujh se kyaa puchhte ho daagh hain dil mein kitne
tum ko ayyaam-e-judaai kaa shumaar aataa hai
bahut muzir dil-e-aashiq ko aah hoti hai
isi havaa se ye kashti tabaah hoti hai
بہت مضر دل عاشق کو آہ ہوتی ہے
اسی ہوا سے یہ کشتی تباہ ہوتی ہے
बहुत मुज़िर दिल-ए-आशिक़ को आह होती है
इसी हवा से ये कश्ती तबाह होती है

mujh se kyaa puchhte ho daagh hain dil mein kitne
tum ko ayyaam-e-judaai kaa shumaar aataa hai
mauj-e-dariyaa se balaa ki chaahiye kashti mujhe
ho jo bilkul naa-muvaafiq vo havaa paidaa karun
dete phirte the hasinon ki gali mein aavaaz
kabhi aaina-farosh-e-dil-e-hairaan ham the
har taraf hashr mein jhankaar hai zanjiron ki
un ki zulfon ke giraftaar chale aate hain
najd se jaanib-e-lailaa jo havaa aati hai
dil-e-majnun ke dhaDakne ki sadaa aati hai
muntazir tere hain chashm-e-khun-fishaan khole hue
baiThe hain dil bechne vaale dukaan khole hue
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
kahin ye apni mohabbat ki intihaa to nahin
bahut dinon se tiri yaad bhi nahin aai
ek taraf kuchh honT mohabbat ki raushan aayaat paDhein
ik saf mein hathiyaar sajaae saare jang-parast rahein
dil-e-betaab ke hamraah safar mein rahnaa
ham ne dekhaa hi nahin chain se ghar mein rahnaa
main rizq-e-mohabbat huun so baTtaa huun baraabar
jitnaa bhi kisi kaa huun main utnaa huun tumhaaraa