Shayari
be-khudi mein ham to teraa dar samajh kar jhuk gae
ab khudaa maalum kaaba thaa ki vo but-khaana thaa
T
Talib Jaipurina aankhon mein aansu na lab par tabassum
mohabbat mein aise bhi lamhaat aae
نہ آنکھوں میں آنسو نہ لب پر تبسم
محبت میں ایسے بھی لمحات آئے
न आँखों में आँसू न लब पर तबस्सुम
मोहब्बत में ऐसे भी लम्हात आए
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
paas jab tak vo rahe dard thamaa rahtaa hai
phailtaa jaataa hai phir aankh ke kaajal ki tarah
use kyuun ham ne diyaa dil jo hai be-mehri mein kaamil jise aadat hai jafaa ki
jise chiDh mehr-o-vafaa ki jise aataa nahin aanaa gham-o-hasrat kaa miTaanaa jo sitam mein hai yagaana
jise kahtaa hai zamaana but-e-be-mahr-o-daghaa-baz jafaa-pesha fusun-saaz sitam-khaana-bar-andaaz
ghazab jis kaa har ik naaz nazar fitna mizha tiir balaa zulf-e-girah-gir gham-o-ranj kaa baani qalaq-o-dard …
main nahin huun naghma-e-jaan-fazaa mujhe sun ke koi karegaa kyaa
main baDe birog ki huun sadaa main baDe dukhi ki pukaar huun