Shayari
gul kiyaa jis ne vo thaa aur magar
shama ne shikva havaaon se kiyaa
T
Tilok Chand Kausarek jumbish si sitaaron mein hui
jab tiraa zikr fazaaon se kiyaa
ایک جنبش سی ستاروں میں ہوئی
جب ترا ذکر فضاؤں سے کیا
एक जुम्बिश सी सितारों में हुई
जब तिरा ज़िक्र फ़ज़ाओं से किया
zamin jab bhi hui karbalaa hamaare liye
to aasmaan se utraa khudaa hamaare liye
apni apni gardish-e-raftaar puuri kar to lein
do sitaare phir kisi din ek jaa ho jaaeinge
fazaa mahdud kab hai ai dil-e-vahshi falak kaisaa
nilaahaT hai nazar ki dekhte hain jo nigaahon se
zamin paanv ke niche se sarki jaati hai
hamein na chheDiye ham hain falak sataae hue
bistar-e-khaak pe baiThaa huun na masti hai na hosh
zarre sab saakit-o-saamit hain sitaare khaamosh
main aur kitne sitaaron ko Dubtaa dekhun
siyaah raat ki kashti se ab utaar mujhe