Shayari
vo ta'alluq bhi thaa kitnaa maasum
ham ne paidaa jo khataaon se kiyaa
T
Tilok Chand Kausargul kiyaa jis ne vo thaa aur magar
shama ne shikva havaaon se kiyaa
گل کیا جس نے وہ تھا اور مگر
شمع نے شکوہ ہواؤں سے کیا
गुल किया जिस ने वो था और मगर
शम्अ ने शिकवा हवाओं से किया
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
ghazal mein jab talak ehsaas ki shiddat na ho shaamil
faqat alfaaz ki kaarigari mahsus hoti hai
maarka garm to ho lene do khun-rezi kaa
pahle shamshir ke niche hamin jaa baiTheinge
aazmaanaa hai to aa baazu o dil ki quvvat
tu bhi shamshir uThaa ham bhi ghazal kahte hain
zindagi bhi mire naalon ki shanaasaa nikli
dil jo TuuTaa to mire ghar mein koi shama jali
thi yuun to shaam-e-hijr magar pichhli raat ko
vo dard uThaa 'firaaq' ki main muskuraa diyaa