Shayari
ai be-khudi-e-dil mujhe ye bhi khabar nahin
kis din bahaar aai main divaana kab huaa
A
Asad Ali Khan Qalaqzamin paanv ke niche se sarki jaati hai
hamein na chheDiye ham hain falak sataae hue
زمین پاؤں کے نیچے سے سرکی جاتی ہے
ہمیں نہ چھیڑئیے ہم ہیں فلک ستائے ہوئے
ज़मीन पाँव के नीचे से सरकी जाती है
हमें न छेड़िए हम हैं फ़लक सताए हुए
ai be-khudi-e-dil mujhe ye bhi khabar nahin
kis din bahaar aai main divaana kab huaa
adaa se dekh lo jaataa rahe gila dil kaa
bas ik nigaah pe Thahraa hai faisla dil kaa
sindur us ki maang mein detaa hai yuun bahaar
jaise dhanak nikalti hai abr-e-siyaah mein
phir mujh se is tarah ki na kijegaa dil-lagi
khair is ghaDi to aap kaa main kar gayaa lihaaz
tilaai rang jaanaan kaa agar mazmun likhun khat mein
to haala gird harfon ke bane sone ke paani kaa
yuun ruuh thi adam mein miri bahr-e-tan udaas
ghurbat mein jis tarah ho gharib-ul-vatan udaas
shab-e-vaada fasil-e-hijr se aage chamaktaa hai tiraa ism-e-sitaara-ju
ki jaise koi paivand-e-ridaa-e-subh aa jaae kisi qindil ki zad mein
sitaara kyaa miri taqdir ki khabar degaa
vo khud faraakhi-e-aflaak mein hai khvaar o zubun
'hasn-jamil' tiraa ghar agar zamin pe hai
to phir ye kis liye gum aasmaan mein tu hai
kisi sitaare se kyaa shikaayat ki raat sab kuchh bujhaa huaa thaa
fasurdagi likh rahi thi dil par shikastagi ki nai kahaani
aaj ki raat bhi guzri hai miri kal ki tarah
haath aae na sitaare tire aanchal ki tarah
chaand sitaare jhiil samundar murat teri kyaa dekhun
Duub gayaa aankhon ke andar surat teri kyaa dekhun