Shayari
chhuT ke ghar aa gae asiir tire
lekin ab in ko kaun pahchaane
thi yuun to shaam-e-hijr magar pichhli raat ko
vo dard uThaa 'firaaq' ki main muskuraa diyaa
تھی یوں تو شام ہجر مگر پچھلی رات کو
وہ درد اٹھا فراقؔ کہ میں مسکرا دیا
थी यूँ तो शाम-ए-हिज्र मगर पिछली रात को
वो दर्द उठा 'फ़िराक़' कि मैं मुस्कुरा दिया

chhuT ke ghar aa gae asiir tire
lekin ab in ko kaun pahchaane
kam se kam maut se aisi mujhe ummid nahin
zindagi tu ne to dhoke pe diyaa hai dhoka
bahut dinon mein mohabbat ko ye huaa maalum
jo tere hijr mein guzri vo raat raat hui
kisi kaa yuun to huaa kaun umr bhar phir bhi
ye husn o ishq to dhokaa hai sab magar phir bhi
jo uljhi thi kabhi aadam ke haathon
vo gutthi aaj tak suljhaa rahaa huun
main muddaton jiyaa huun kisi dost ke baghair
ab tum bhi saath chhoDne ko kah rahe ho khair
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
mohabbat ek khushbu hai hamesha saath chalti hai
koi insaan tanhaai mein bhi tanhaa nahin rahtaa
aansu falak ki aankh se Tapke tamaam raat
aur subh tak zamin kaa aanchal bhigo gae
bahut khaamosh rah kar jo sadaaein mujh ko detaa thaa
baDe sundar se jazbon ki qabaaein mujh ko detaa thaa