Shayari
phir se bikhri hai tiri zulf mire shaanon par
vaqt aayaa hai gae vaqt ko lauTaane kaa
T
Tufail Bismilik bahaana hai tujhe yaad kiye jaane kaa
kab saliqa hai mujhe varna ghazal gaane kaa
اک بہانہ ہے تجھے یاد کئے جانے کا
کب سلیقہ ہے مجھے ورنہ غزل گانے کا
इक बहाना है तुझे याद किए जाने का
कब सलीक़ा है मुझे वर्ना ग़ज़ल गाने का
phir se bikhri hai tiri zulf mire shaanon par
vaqt aayaa hai gae vaqt ko lauTaane kaa
vaqt ke maqtal mein ham hain dosto
vaqt ik din ham ko bhi khaa jaaegaa
aavaaz huun ubhar ke jo sahraa mein kho gai
yaa zindagi ke bahr mein mauj-e-khayaal huun
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
jiinaa taDap taDap kar marnaa sisak sisak kar
fariyaad ek ji hai kyaa kyaa kharaabiyon mein
sayyaad teraa ghar mujhe jannat sahi magar
jannat se bhi sivaa mujhe raahat chaman mein thi
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai