Shayari
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
udaasi kar rahi hai raqs-e-hijrat
hamesha ke liye vo jaa rahaa hai
اداسی کر رہی ہے رقص ہجرت
ہمیشہ کے لیے وہ جا رہا ہے
उदासी कर रही है रक़्स-ए-हिजरत
हमेशा के लिए वो जा रहा है

gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
khaDaa huun zer-e-falak gumbad-e-sadaa mein 'munir'
ki jaise haath uThaa ho koi duaa ke liye
sadaa ham to khoe gae se rahe
kabhu aap mein tum ne paayaa hamein
main muskuraataa magar di na ashk ne mohlat
khushi jab ek mili saath gham hazaar mile