Shayari
ham ajnabi hain aaj bhi apne dayaar mein
har shakhs puchhtaa hai yahi tum yahaan kahaan
uljhi thi jin mein ek zamaane se zindagi
kyuun ai gham-e-hayaat vo gesu sanvar gae
الجھی تھی جن میں ایک زمانے سے زندگی
کیوں اے غم حیات وہ گیسو سنور گئے
उलझी थी जिन में एक ज़माने से ज़िंदगी
क्यूँ ऐ ग़म-ए-हयात वो गेसू सँवर गए

gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
donon jahaan teri mohabbat mein haar ke
vo jaa rahaa hai koi shab-e-gham guzaar ke
zindagi kyaa kisi muflis ki qabaa hai jis mein
har ghaDi dard ke paivand lage jaate hain
sajaao bazm ghazal gaao jaam taaza karo
''bahut sahi gham-e-giti sharaab kam kyaa hai''