Shayari
jo sukh ke ujaale mein thaa parchhaain hamaari
ab dukh ke andhere mein vo saayaa nahin dekhaa
Y
Yashpal Guptaye samajh kar faqiri hi mein hai khudaa
gun hamesha faqiron ke gaate rahe
یہ سمجھ کر فقیری ہی میں ہے خدا
گن ہمیشہ فقیروں کے گاتے رہے
ये समझ कर फ़क़ीरी ही में है ख़ुदा
गुन हमेशा फ़क़ीरों के गाते रहे
ham sufiyon kaa donon taraf se ziyaan huaa
irfaan-e-zaat bhi na huaa raat bhi gai
karim jo tujhe denaa hai be-talab de de
faqir huun pa nahin aadat-e-savaal mujhe
chhaaon detaa dhuup uThaataa raste mein
main ne dekhaa ek shajar darveshi mein
do-shaala shaal kashmiri amiron ko mubaarak ho
galim-e-kohna mein jaaDaa faqiron kaa basar hogaa
baazi-gaah-e-daar-o-rasan mein mai-kada-e-fikr-o-fan mein
ham rindon se raunaq hai ham durveshon se mele hain
na dastakein na sadaa kaun dar pe aayaa hai
faqir-e-shahr hai yaa shahryaar dekhiyegaa