Shayari
tujh se bhi kab hui tadbir miri vahshat ki
tu bhi muTThi mein kahaan bheinch sakaa paani ko
na dastakein na sadaa kaun dar pe aayaa hai
faqir-e-shahr hai yaa shahryaar dekhiyegaa
نہ دستکیں نہ صدا کون در پہ آیا ہے
فقیر شہر ہے یا شہریار دیکھئے گا
न दस्तकें न सदा कौन दर पे आया है
फ़क़ीर-ए-शहर है या शहरयार देखिएगा

tujh se bhi kab hui tadbir miri vahshat ki
tu bhi muTThi mein kahaan bheinch sakaa paani ko
khvaab-e-ziyaan hain umr kaa khvaab hain haasil-e-hayaat
is kaa bhi thaa yaqin mujhe vo bhi mire gumaan mein thaa
samaai kis tarah meri aankhon ki putliyon mein
vo ek hairat jo aaine se bahut baDi thi
saalgirah par kitni nek tamannaaein mausul huiin
lekin in mein ek mubaarakbaad abhi tak baaqi hai
raaton ko jaagte hain isi vaaste ki khvaab
dekhegaa band aankhein to phir lauT jaaegaa
qatra Thiik hai dariyaa hone mein nuqsaan bahut hai
dekh to kaise Duub rahaa hai meraa lashkar mujh mein
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
nazar bachaa ke jo aansu kiye the main ne paak
khabar na thi yahi dhabbe baneinge daaman ke
bataa khud ko bhalaa kaise sanvaarun
mujhe gham aainon mein dikh rahaa hai
us pe qurbaan ki jis ne tiri aavaaz suni
sadqe us aankh ke jis ne tiraa jalva dekhaa