Shayari
aisaa gulshan ki siyaasat ne kiyaa hai paaband
ham asiraan-e-qafas aah bhi karne ke nahin
jaada-e-raah-e-mohabbat ki daraazi mat puchh
manzil-e-shauq kaa har zarra bayaabaan niklaa
جادۂ راہ محبت کی درازی مت پوچھ
منزل شوق کا ہر ذرہ بیاباں نکلا
जादा-ए-राह-ए-मोहब्बत की दराज़ी मत पूछ
मंज़िल-ए-शौक़ का हर ज़र्रा बयाबाँ निकला

sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
saaf kahiye ki pyaar karte hain
ye nigaahon kaa qaul-e-mubham kyaa
baar-e-gham-e-jahaan bhi hai teraa khayaal bhi
hain kitni vusatein dil-e-aashufta-haal mein
baDi viraani hai dil ke shajar par
mohabbat ke parinde uD gae kyaa
tamaam vahm o gumaan hai to ham bhi dhoka hain
isi khayaal se duniyaa ko main ne pyaar kiyaa