Shayari
dam kaa aanaa to baDi baat hai lab par 'aarif'
zoaf ne harf-e-shikaayat kabhi aane na diyaa
tumhaari rah kaa rahaa ham ko har taraf dhokaa
chale jidhar ko so be-ikhtiyaar ho ke chale
تمہاری رہ کا رہا ہم کو ہر طرف دھوکا
چلے جدھر کو سو بے اختیار ہو کے چلے
तुम्हारी रह का रहा हम को हर तरफ़ धोका
चले जिधर को सो बे-इख़्तियार हो के चले

dam kaa aanaa to baDi baat hai lab par 'aarif'
zoaf ne harf-e-shikaayat kabhi aane na diyaa
tum apni zulf se puchho miri pareshaani
ki haal us ko hai maalum hu-ba-hu meraa
vo parda-nashini ki riaayat hai tumhaari
ham baat bhi khalvat se nikalne nahin dete
furqat mein kaar-e-vasl liyaa vaah vaah se
har aah-e-dil ke saath ik armaan nikal gayaa
na aae saamne mere agar nahin aataa
mujhe to us ke sivaa kuchh nazar nahin aataa
saunp kar khaana-e-dil gham ko kidhar jaate ho
phir na paaoge agar us ne ye ghar chhoD diyaa
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
baiThaa hai jo ki saaya-e-divaar-e-yaar mein
farmaan-ravaa-e-kishvar-e-hindustaan hai
har taraf dosti kaa mela hai
phir bhi har aadmi akelaa hai
ghair ho koi to us se khul ke baatein kijiye
doston kaa doston se hi gila achchhaa nahin
apne sab yaar kaam kar rahe hain
aur ham hain ki naam kar rahe hain
dair-o-haram pukaarne aae hamein magar
lekin khayaal-e-yaar se fursat nahin mili