Shayari
baar-e-gham-e-jahaan bhi hai teraa khayaal bhi
hain kitni vusatein dil-e-aashufta-haal mein
yuun to diye fareb sahaaron ne umr bhar
dil ko baDaa sukun thaa sahaaron ki god mein
یوں تو دیئے فریب سہاروں نے عمر بھر
دل کو بڑا سکوں تھا سہاروں کی گود میں
यूँ तो दिए फ़रेब सहारों ने उम्र भर
दिल को बड़ा सुकूँ था सहारों की गोद में

kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
arsa-e-zulmat-e-hayaat kaTe
ham-nafas muskuraa ki raat kaTe
khushi kaa ek hi lamha thaa apni zindagi mein
sakhi aise ki vo bhi dusron ke naam kar aae
hamaari zindagi to mukhtasar si ik kahaani thi
bhalaa ho maut kaa jis ne banaa rakkhaa hai afsaana