Shayari
kaan mein hai tere moti aab-daar
yaa kisi aashiq kaa aansu bolnaa
The most intense love verses — when passion crosses all limits.
kaan mein hai tere moti aab-daar
yaa kisi aashiq kaa aansu bolnaa
ishq ne 'ghaalib' nikammaa kar diyaa
varna ham bhi aadmi the kaam ke
ishq se tabiat ne ziist kaa mazaa paayaa
dard ki davaa paai dard-e-be-davaa paayaa
vo aashiqi ke khet mein saabit qadam huaa
jo koi zakhm-e-ishq liyaa dil ki Dhaal par
jab siin laayaa ishq ne fauj-e-junun
aql ke lashkar mein bhaagaa bhaag hai
sitaaron se aage jahaan aur bhi hain
abhi ishq ke imtihaan aur bhi hain
bulbul ke kaarobaar pe hain khanda-haa-e-gul
kahte hain jis ko ishq khalal hai dimaagh kaa
kufr-o-imaan do nadi hain ishq kiin
aakhirash dono kaa sangam hovegaa
khat likheinge garche matlab kuchh na ho
ham to aashiq hain tumhaare naam ke
ishq tiri intihaa ishq miri intihaa
tu bhi abhi naa-tamaam main bhi abhi naa-tamaam
aashiqi sabr-talab aur tamannaa betaab
dil kaa kyaa rang karun khun-e-jigar hote tak
saraapaa rehn-e-ishq-o-naa-guzir-e-ulfat-e-hasti
ibaadat barq ki kartaa huun aur afsos haasil kaa
hamaaraa 'mir'-ji se muttafiq honaa hai naa-mumkin
uThaanaa hai jo patthar ishq kaa to halkaa bhaari kyaa
kamaal-e-ishq bhi khaali nahin tamannaa se
jo hai ik aah to us ko bhi hai asar ki talab
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
e'tibaar-e-ishq ki khaana-kharaabi dekhnaa
ghair ne ki aah lekin vo khafaa mujh par huaa
us bevafaa ne ham ko agar apne ishq mein
rusvaa kiyaa kharaab kiyaa phir kisi ko kyaa
anokhi vaza hai saare zamaane se niraale hain
ye aashiq kaun si basti ke yaa-rab rahne vaale hain
hamaaraa ishq ravaan hai rukaavaTon mein 'zafar'
ye khvaab hai kisi divaar se nahin ruktaa
ishq kaa duur kare dil se jo dhaDkaa taaviz
is dhaDaake kaa koi ham ne na dekhaa taaviz
aai hai tire ishq ki baazi dil-o-jaan par
is vaqt nazar kab hai mujhe sud-o-ziyaan par
gham-e-jahaan ho rukh-e-yaar ho ki dast-e-adu
suluk jis se kiyaa ham ne aashiqaana kiyaa
kabhi neki bhi us ke ji mein gar aa jaae hai mujh se
jafaaein kar ke apni yaad sharmaa jaae hai mujh se
khabar-e-tahayyur-e-ishq sun na junun rahaa na pari rahi
na to tu rahaa na to main rahaa jo rahi so be-khabari rahi
ghair taraf kyunki nazar kar sakun
khauf hai tujh ishq ke jaasus kaa