Shayari
jise mol lenaa ho le le khushi se
main is vaqt donon jahaan bechtaa huun
kamaal-e-ishq bhi khaali nahin tamannaa se
jo hai ik aah to us ko bhi hai asar ki talab
کمال عشق بھی خالی نہیں تمنا سے
جو ہے اک آہ تو اس کو بھی ہے اثر کی طلب
kamāl-e-ishq bhī ḳhālī nahīñ tamannā se
jo hai ik aah to us ko bhī hai asar kī talab

jise mol lenaa ho le le khushi se
main is vaqt donon jahaan bechtaa huun
ghash khaa ke giraa pahle hi shoale ki jhalak se
muusaa ko bhalaa kahiye to kyaa tuur ki sujhi
mai bhi hai miinaa bhi hai saaghar bhi hai saaqi nahin
dil mein aataa hai lagaa dein aag mai-khaane ko ham
dekhe na mujhe kyunkar az-chashm-e-hiqaarat-u
vo sarv-e-javaan yaaro man-faakhta-e-piram
mazmun-e-sard-mehri-e-jaanaan raqam karun
gar haath aae kaaghaz-e-kashmir kaa varaq
vo aap se ruThaa nahin manne kaa 'nazir' aah
kyaa dekhe hai chal paanv paD aur us ko manaa laa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ishq ke shoale ko bhaDkaao ki kuchh raat kaTe
dil ke angaare ko dahkaao ki kuchh raat kaTe
chashm o rukhsaar ke azkaar ko jaari rakkho
pyaar ke naame ko doharaao ki kuchh raat kaTe
ye faiz-e-ishq thaa ki hui har khataa muaaf
vo khush na ho sake to khafaa bhi na ho sake
baDhaai mai jo mohabbat se aaj saaqi ne
ye kaanpe haath ki saaghar bhi ham uThaa na sake