Shayari
dekhaa hai jis ne yaar ke rukhsaar ki taraf
hargiz na jaave sair kuun gulzaar ki taraf
aai hai tire ishq ki baazi dil-o-jaan par
is vaqt nazar kab hai mujhe sud-o-ziyaan par
آئی ہے ترے عشق کی بازی دل و جاں پر
اس وقت نظر کب ہے مجھے سود و زیاں پر
aa.ī hai tire ishq kī baazī dil-o-jāñ par
is vaqt nazar kab hai mujhe sūd-o-ziyāñ par

dekhaa hai jis ne yaar ke rukhsaar ki taraf
hargiz na jaave sair kuun gulzaar ki taraf
boltaa huun jo vo bulaataa hai
tan ke pinjre mein us kaa totaa huun
vaqt hai ab namaaz-e-maghrib kaa
chaand rukh lab shafaq hai gesu shaam
tahqiq ki nazar siin aakhir kuun ham ne dekhaa
akasr hain maal vaale kam hain kamaal vaale
masjid vahshat mein paDhtaa hai taraavih-e-junun
mushaf husn-e-pari-rukhsaar jis kuun yaad hai
vo ajab ghaDi thi main jis ghaDi liyaa dars nuskha-e-ishq kaa
ki kitaab aql ki taaq par juun dhari thi tyuun hi dhari rahi
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
is tarah sataayaa hai pareshaan kiyaa hai
goyaa ki mohabbat nahin ehsaan kiyaa hai
vo jis ne dekhaa nahin ishq kaa kabhi maktab
main us ke haath mein dil ki kitaab kyaa detaa
chand logon ki mohabbat bhi ghanimat hai miyaan
shahr kaa shahr hamaaraa to nahin ho saktaa
hijr mein itnaa khasaara to nahin ho saktaa
ek hi ishq dobaara to nahin ho saktaa