Shayari
main naa-muraad dil ki tasalli ko kyaa karun
maanaa ki tere rukh se nigah kaamyaab hai
Tributes to the greatest love — verses dedicated to mothers everywhere.
main naa-muraad dil ki tasalli ko kyaa karun
maanaa ki tere rukh se nigah kaamyaab hai
zaraa jo ham ne unhein aaj mehrbaan dekhaa
na ham se puchhiye kyaa rang-e-aasmaan dekhaa
ne tiir kamaan mein hai na sayyaad kamin mein
goshe mein qafas ke mujhe aaraam bahut hai
na bujho aasmaan par tum sitaare
hamaari aah ki chingaariyaan hain
sau sau umidein bandhti hai ik ik nigaah par
mujh ko na aise pyaar se dekhaa kare koi
ham kahaan ke daanaa the kis hunar mein yaktaa the
be-sabab huaa 'ghaalib' dushman aasmaan apnaa
kufr-o-imaan do nadi hain ishq kiin
aakhirash dono kaa sangam hovegaa
baiThaa hai jo ki saaya-e-divaar-e-yaar mein
farmaan-ravaa-e-kishvar-e-hindustaan hai
naakaami-e-nigaah hai barq-e-nazaaraa-soz
tu vo nahin ki tujh ko tamaashaa kare koi
le to luun sote mein us ke paanv kaa bosa magar
aisi baaton se vo kaafir bad-gumaan ho jaaegaa
kabhi kisi ko mukammal jahaan nahin miltaa
kahin zamin kahin aasmaan nahin miltaa
tamaam shahr mein aisaa nahin khulus na ho
jahaan umiid ho is ki vahaan nahin miltaa
ab tak dil-e-khush-fahm ko tujh se hain umidein
ye aakhiri shamein bhi bujhaane ke liye aa
huun giraftaar-e-ulfat-e-sayyaad
varna baaqi hai taaqat-e-parvaaz
na jaane kis liye ummid-vaar baiThaa huun
ik aisi raah pe jo teri rahguzar bhi nahin
tu shaahin hai parvaaz hai kaam teraa
tire saamne aasmaan aur bhi hain
dil naa-umid to nahin naakaam hi to hai
lambi hai gham ki shaam magar shaam hi to hai
yahi hai zindagi kuchh khvaab chand ummidein
inhin khilaunon se tum bhi bahal sako to chalo
ghulaami mein na kaam aati hain shamshirein na tadbirein
jo ho zauq-e-yaqin paidaa to kaT jaati hain zanjirein
aasmaan par koi tasvir banaataa huun 'zafar'
ki rahe ek taraf aur lage chaaron taraf
muddat hui hai yaar ko mehmaan kiye hue
josh-e-qadah se bazm charaaghaan kiye hue
koshish bhi kar umiid bhi rakh raasta bhi chun
phir is ke baa'd thoDaa muqaddar talaash kar
ab to is raah se vo shakhs guzartaa bhi nahin
ab kis ummid pe darvaaze se jhaanke koi
dar-e-umid se ho kar nikalne lagtaa huun
to yaas rauzan-e-zindaan se aankh maarti hai
umid-e-hur ne sab kuchh sikhaa rakkhaa hai vaaiz ko
ye hazrat dekhne mein sidhe-saade bhole-bhaale hain