SHAWORDS

aaina toD de rihaa kar de — Ayub Khawar

HomeAyub KhawarGhazal
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"
Urdu

آئنہ توڑ دے رہا کر دے بے وفا اک یہی وفا کر دے رشتۂ درد توڑ دے دل سے رنگ کو پھول سے جدا کر دے زندگی بھر تجھی کو چاہا ہے قرض کچھ تو مرا ادا کر دے دے رہا ہے زکات حسن اگر مرے حق سے ذرا بڑھا کر دے مدتیں ہو گئیں تجھے دیکھے اب تو ملنے کا سلسلہ کر دے پھر کوئی گل کھلے سر مژگاں پھر در خواب کوئی وا کر دے اک ستارے کو بخش کر مرے خواب پھر اسے میرا آئنہ کر دے بیٹھتا جا رہا ہے جاں کا غبار اب اسے مجھ سے ماورا کر دے اے فقیر‌ دیار لیلیٔ جاں مرے حق میں بھی کچھ دعا کر دے

Hindi

आइना तोड़ दे रिहा कर दे बेवफ़ा इक यही वफ़ा कर दे रिश्ता-ए-दर्द तोड़ दे दिल से रंग को फूल से जुदा कर दे ज़िंदगी-भर तुझी को चाहा है क़र्ज़ कुछ तो मिरा अदा कर दे दे रहा है ज़कात-ए-हुस्न अगर मिरे हक़ से ज़रा बढ़ा कर दे मुद्दतें हो गईं तुझे देखे अब तो मिलने का सिलसिला कर दे फिर कोई गुल खिले सर-ए-मिज़्गाँ फिर दर-ए-ख़्वाब कोई वा कर दे इक सितारे को बख़्श कर मिरे ख़्वाब फिर उसे मेरा आइना कर दे बैठता जा रहा है जाँ का ग़ुबार अब उसे मुझ से मावरा कर दे ऐ फ़क़ीर‌‌‌‌-ए-दयार-ए-लैली-जाँ मिरे हक़ में भी कुछ दुआ कर दे

aa.ina toḌ de rihā kar de
Ayub Khawar
Ayub Khawar
Ayub Khawar
poet24 quotes

More by Ayub Khawar

View all →
Quote
"ghar darvaaze se duuri par saat samundar biich ek anjaane dushman ki hai ghaat samundar biich phir ye haarne vaali aankhein jaagin is dhoke mein koi khvaab bhanvar mein aayaa raat samundar biich ab kyaa unche baadbaan par khvaab sitaara chamke aankhein rah gaiin saahil par aur haat samundar biich is mausam mein kaun kahaan tak diyaa jalaae rakkhe havaa chale to Daal se TuuTe paat samundar biich lahr se lahr mile to dekho qatre ki tanhaai dil aisi ik buund ki kyaa auqaat samundar biich ek kahaani soch rahi hai mujh ko kaun kahe ek jazira Duub rahaa hai zaat samundar biich ek safar patvaar kaa apnaa ek safar paani kaa aur musaafir tanhaa khaa gayaa maat samundar biich"
Ayub KhawarAyub Khawar
Quote
"havaa ke rukh pe rah-e-e'tibaar mein rakkhaa bas ik charaagh ku-e-intizaar mein rakkhaa ajab tilism-e-taghaaful thaa jis ne der talak miri anaa ko bhi kunj-e-khumaar mein rakkhaa uDaa diye khas-o-khaashaak-e-aarzu sar-e-raah bas ek dil ko tire ikhtiyaar mein rakkhaa na jaane kaun ghaDi thi ki apne haathon se uThaa ke shisha-e-jaan is ghubaar mein rakkhaa ye kis ne misl-e-mah-o-mahr apni apni jagah visaal o hijr ko un ke madaar mein rakkhaa lahu mein Dolti tanhaai ki tarah 'khaavar' tiraa khayaal dil-e-be-qaraar mein rakkhaa"
Ayub KhawarAyub Khawar
Quote
"kin aavaazon kaa sannaaTaa mujh mein hai jo kuchh bhi tujh mein hai yaa mujh mein hai teri aankhein meri aankhein lagti hain soch rahaa huun kaun ye tujh saa mujh mein hai har mausam ne tere dar par dastak di aakhiri dastak dene vaalaa mujh mein hai dil ki miTTi lahu banaa kar chhoDegaa ye jo kaanch kaa chaltaa TukDaa mujh mein hai jis dariyaa kaa ek kinaaraa vo aankhein us dariyaa kaa ek kinaaraa mujh mein hai khiltaa hai vo phuul abhi ik khiDki mein jis ko aakhir-kaar mahaknaa mujh mein hai jin aankhon ki jhilein kanval khilaati hain rang sunahraa un jhilon kaa mujh mein hai"
Ayub KhawarAyub Khawar
Quote
"safar mein faaslon ke saath baadbaan kho diyaa utar ke paaniyon mein ham ne aasamaan kho diyaa yahi ki in nafas-ghubaar saaaton ke darmiyaan havaa ne giit rah-guzar ne saarbaan kho diyaa ye kaun saavanon mein khvaab dekhtaa hai dhuup ke ye kis ne e'tibaar-e-gham pas-e-gumaan kho diyaa bas ek harf kaa gudaaz us pe qarz thaa so vo bichhaDte vaqt khaamushi ke darmiyaan kho diyaa firaaq manzilon kaa ik ghubaar thaa ki jis ghaDi charaagh-e-shab ne aur dil ne mehmaan kho diyaa ruton mein ek rut yahaan shajar bhi kaaTne ki thi pata chalaa jab apne ghar kaa paasbaan kho diyaa bachaa liyaa thaa khvaab jo masaafaton ki dhuup se vo abr-o-baad manzaron ke darmiyaan kho diyaa vo niind apne bachpane ki raah mein ujaD gai us aankh ne bhi mojazon kaa ik jahaan kho diyaa"
Ayub KhawarAyub Khawar
Quote
"aankh ki dahliz se utraa to sahraa ho gayaa qatra-e-khun paaniyon ke saath rusvaa ho gayaa khaak ki chaadar mein jism o jaan simaTte hi nahin aur zamin kaa rang bhi ab dhuup jaisaa ho gayaa ek ik kar ke mire sab lafz miTTi ho gae aur is miTTi mein dhans kar main zamin kaa ho gayaa tujh se kyaa bichhDe ki aankhein reza reza ho gaiin aaina TuuTaa to ik aaina-khaana ho gayaa ai havaa-e-vasl chal phir se gul-e-hijraan khilaa sar uThaa phir ai nihaal-e-gham saveraa ho gayaa ai jamaal-e-fan use mat ro ki tan-aasaan thaa teri duniyaaon kaa 'khaavar' sarf-e-duniyaa ho gayaa"
Ayub KhawarAyub Khawar
Quote
"bujhne lage nazar to phir us paar dekhnaa dariyaa chaDhe to naav ki raftaar dekhnaa is aagahi ke aaina-e-khud-misaal mein khud apni zaat ko sar-e-paikaar dekhnaa aankhon se rat-jagon ki haraarat nahin gai ai yaad-e-yaar tishna-e-aazaar dekhnaa honTon pe aa ke jam si gai khvaahish-e-visaal is an-kahi pe lazzat-e-inkaar dekhnaa ham vo vafaa-parast tujhe dekhne ke baa'd apni taraf bhi surat-e-divaar dekhnaa shaakh o samar to munsif o qaatil ke ho gae ab kis ke sar pe girti hai talvaar dekhnaa yuun hai ki jab bichhaDne lagein dil se dhaDkanein tab us gali mein subh ke aasaar dekhnaa ab ye dil o nigaah ke bas mein nahin rahaa har aaine mein aks-e-rukh-e-yaar dekhnaa saahil ko mauj le gai aur us ko baadbaan khaavar ab is ke baa'd na us paar dekhnaa"
Ayub KhawarAyub Khawar

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"ye hai mai-kada yahaan rind hain yahaan sab kaa saaqi imaam hai ye haram nahin hai ai shaikh ji yahaan paarsaai haraam hai jo zaraa si pi ke bahak gayaa use mai-kade se nikaal do yahaan tang-nazar kaa guzar nahin yahaan ahl-e-zarf kaa kaam hai koi mast hai koi tishna-lab to kisi ke haath mein jaam hai magar is pe koi kare bhi kyaa ye to mai-kade kaa nizaam hai ye janaab-e-shaikh kaa falsafa hai 'ajib saare jahaan se jo vahaan piyo to halaal hai jo yahaan piyo to haraam hai tujhe apne husn kaa vaasta mere shauq-e-did pa rahm khaa zaraa muskuraa ke naqaab uThaa ki nazar ko shauq-e-salaam hai na sunnaa to huur o qusur ki ye hikaayatein mujhe vaa'izaa koi baat kar dar-e-yaar ki dar-e-yaar hi se to kaam hai na to e'tikaaf se kuchh gharaz na savaab-o-zuhd se vaasta tiri diid aisi namaaz hai na sujud hai na qayaam hai ye durust ki 'aib hai mai-kashi ye ba-jaa ki baada haraam hai magar ab savaal ye aa paDaa ki tumhaare haath mein jaam hai jo uThi to subh-e-davaam thi jo jhuki to shaam hi shaam thi tiri chashm-e-mast mein saaqiyaa miri zindagi kaa nizaam hai miraa farz hai ki paDaa rahun tiri baargaah mein saaqiyaa koi tishna-lab hai ki sair hai yahi dekhnaa tiraa kaam hai isi kaaenaat mein ai 'jigar' koi inqalaab uThegaa phir ki buland ho ke bhi aadmi abhi khvaahishon kaa ghulaam hai"
Jigar MoradabadiJigar Moradabadi