SHAWORDS

ab to nahin aasraa kisi kaa — Hafeez Jaunpuri

"ab to nahin aasraa kisi kaa allaah hai apni bekasi kaa o aankh badal ke jaane vaale kuchh dhyaan kisi ki aajizi kaa bimaar ko dijiye tasalli ye vaqt nahin jali-kaTi kaa aapas mein hui jo bad-gumaani mushkil hai nibaah dosti kaa baalin se koi uThaa ye kah kar anjaam ba-khair ho kisi kaa gham kaa bhi qayaam kuchh na Thahraa ronaa kyaa roiye khushi kaa pahunchaa hi diyaa kisi gali tak allaah-re zor be-khudi kaa aakhir ko sharaab rang laai chhuptaa nahin raaz mai-kashi kaa andheraa 'hafiz' ho rahaa hai bujhtaa hai charaagh zindagi kaa"
Urdu

اب تو نہیں آسرا کسی کا اللہ ہے اپنی بیکسی کا او آنکھ بدل کے جانے والے کچھ دھیان کسی کی عاجزی کا بیمار کو دیجئے تسلی یہ وقت نہیں جلی کٹی کا آپس میں ہوئی جو بد گمانی مشکل ہے نباہ دوستی کا بالیں سے کوئی اٹھا یہ کہہ کر انجام بخیر ہو کسی کا غم کا بھی قیام کچھ نہ ٹھہرا رونا کیا روئیے خوشی کا پہونچا ہی دیا کسی گلی تک اللہ رے زور بے خودی کا آخر کو شراب رنگ لائی چھپتا نہیں راز مے کشی کا اندھیرا حفیظؔ ہو رہا ہے بجھتا ہے چراغ زندگی کا

Hindi

अब तो नहीं आसरा किसी का अल्लाह है अपनी बेकसी का ओ आँख बदल के जाने वाले कुछ ध्यान किसी की आजिज़ी का बीमार को दीजिए तसल्ली ये वक़्त नहीं जली-कटी का आपस में हुई जो बद-गुमानी मुश्किल है निबाह दोस्ती का बालीं से कोई उठा ये कह कर अंजाम ब-ख़ैर हो किसी का ग़म का भी क़याम कुछ न ठहरा रोना क्या रोइए ख़ुशी का पहुँचा ही दिया किसी गली तक अल्लाह-रे ज़ोर बे-ख़ुदी का आख़िर को शराब रंग लाई छुपता नहीं राज़ मय-कशी का अँधेरा 'हफ़ीज़' हो रहा है बुझता है चराग़ ज़िंदगी का

ab to nahīñ aasrā kisī kā
Hafeez Jaunpuri
Hafeez Jaunpuri
Hafeez Jaunpuri
poet111 quotes

More by Hafeez Jaunpuri

View all →
Quote
"yuun uThaa de hamaare ji se gharaz ho na tere sivaa kisi se gharaz vo manaaegaa jis se ruThe ho ham ko minnat se aajizi se gharaz ye bhi ehsaan hai qanaaat kaa apni aTki nahin kisi se gharaz ye mahal bhi maqaam-e-ibrat hai aadmi ko ho aadmi se gharaz dard-mandon ko kyaa davaa se kaam gham-nasibon ko kyaa khushi se gharaz husn aaraaishon kaa ho muhtaaj us ko aaine aarsi se gharaz chuur hain nashsha-e-mohabbat mein mai se matlab na mai-kashi se gharaz der tak diid ke maze luuTe khuub nikli ye be-khudi se gharaz be-niyaazi ki shaan hi ye nahin us ko bandon ki bandi se gharaz teri khaatir aziiz hai varna mujh ko dushman ki dosti se gharaz ham mohabbat ke bande hain vaaiz ham ko kyaa bahs mazhabi se gharaz dair ho kaaba ho kalisaa ho us ki dhun us ki bandagi se gharaz shaikh ko is qadar pilaate kyuun mai-kashon ko thi dil-lagi se gharaz us ko samjho na hazz-e-nafs 'hafiz' aur hi kuchh hai shaairi se gharaz"
Hafeez JaunpuriHafeez Jaunpuri
Quote
"adaa pariyon ki surat huur ki aankhein ghazaalon ki gharaz maange ki har ik chiiz hai in husn vaalon ki bajaae-raqs mai-khaane mein hai gardish piyaalon ki takalluf-bar-taraf ye bazm hai allaah vaalon ki nishaan jab miT gayaa turbat kaa aae faatiha paDhne unhein kab yaad aai hain vafaaein marne vaalon ki huaa do gaz kafan mun'im ko haasil maal-e-duniyaa se bandhi rakkhi hi aakhir rah gai gaThri doshaalon ki dukhaa kar dil miraa phir aap hi uzr-e-jafaa karnaa are kaafir tiri ik chaal hai ye laakh chaalon ki abhi tum ko bahut kuchh naaz hai tirchhi nigaahon par magar dekhi nahin taasir tum ne mere naalon ki tire hote hue ye baat ghairat ki hai o zaalim uDaae aasmaan yuun khaak teri paaemaalon ki bhale hain yaa bure jo kuchh hain bande to khudaa ke hain nadaamat is qadar vaa'iz na kar mai-khaane vaalon ki hui bauchhaar mujh par shikva-e-bejaa ki phir kyaa kyaa jahaan chheDaa unhein bas khul gai gaThri malaalon ki gunahgaar-e-mohabbat hain jidhar guzreinge mahshar mein hamaare saath saath ik bhiiD hogi khush-jamaalon ki farishton se 'hafiz' ik din lahad mein guftugu hogi abhi se fikr laazim hai tumhein un ke savaalon ki"
Hafeez JaunpuriHafeez Jaunpuri
Quote
"un ko dil de ke pashemaani hai ye bhi ik tarah ki naadaani hai vasl se aaj nayaa hai inkaar tum ne kab baat miri maani hai aap dete hain tasalli kis ko ham ne ab aur hi kuchh Thaani hai haal bin puchhe kahe jaataa huun apne matlab ki ye naadaani hai kis qadar baar huun gham-khvaaron par kyaa subuk meri giraan-jaani hai ghar bulaa kar vo mujhe lauTte hain ye nai tarah ki mehmaani hai ham se vahshat ki na le o majnun ham ne bhi khaak bahut chhaani hai khaak uDti hai jidhar jaataa huun kyaa muqaddar ki pareshaani hai ghar bhi viraana nazar aataa hai haae kyaa be-sar-o-saamaani hai aai kyuun un ki shikaayat lab tak ham ko khud us ki pashemaani hai kahin do din na rahaa jam ke 'hafiz' ek aavaara hai sailaani hai"
Hafeez JaunpuriHafeez Jaunpuri
Quote
"munh miraa ek ek taktaa thaa us ki mahfil mein main tamaashaa thaa ham jo tujh se phirein khudaa se phirein yaad hai kuchh ye qaul kis kaa thaa vasl mein bhi rahaa firaaq kaa gham shaam hi se sahar kaa khaTkaa thaa apni aankhon kaa kuchh qusur nahin husn hi dil-fareb is kaa thaa faatiha paDh rahe the vo jab tak meri turbat par ek melaa thaa naama-bar naama jab diyaa tu ne kuchh zabaani bhi us ne puchhaa thaa ab kuchh is kaa bhi eatibaar nahin pahle dil par baDaa bharosaa thaa vo jo ruk ruk ke puchhte the haal dil mein rah rah ke dard uThtaa thaa juThaa vaada bhi ai 'hafiz' un kaa zindagi kaa miri sahaaraa thaa"
Hafeez JaunpuriHafeez Jaunpuri
Quote
"junun ke josh mein phirte hain maare maare ab ajal lagaa de kahin gor ke kinaare ab gayaa jo haath se vo vaqt phir nahin aataa kahaan umiid ki phir din phirein hamaare ab ajab nahin hai ki phir aaj ham sahar dekhein ki aasmaan pe ginti ke hain sitaare ab jab us ke haath mein dil hai miri balaa jaane mile vo paanv se yaa apne sar se vaare ab inaayaton ki vo baatein na vo karam ki nigaah badal gae hain kuchh andaaz ab tumhaare ab ye Dar hai ho na sar-e-rahguzaar hangaama samajh ke kijiye darbaan se kuchh ishaare ab 'hafiz' sochiye is baat mein hain do pahlu kahaa hai us ne ki ab ho chuke tumhaare ab"
Hafeez JaunpuriHafeez Jaunpuri
Quote
"jaan hi jaae to jaae dard-e-dil ik yahi hai ab davaa-e-dard-e-dil ab taDapne mein mazaa miltaa nahin ho chali jaan aashnaa-e-dard-e-dil imtihaan-e-zabt hai manzur aaj jis qadar chaahe sataae dard-e-dil bhaagti hai duur jis se maut bhi vo balaa hai ye balaa-e-dard-e-dil rahm kab aayaa kisi be-dard ko ho chuki jab intihaa-e-dard-e-dil khaa ke kuchh so rahte hain hirmaan-nasib ek ye bhi hai davaa-e-dard-e-dil ham marizon kaa nahin mumkin ilaaj laa-davaa hain mubtalaa-e-dard-e-dil rahti hai siine hi par tasvir-e-dost hai ye taaviz ik baraa-e-dard-e-dil rote rote bandh gai hichki 'hafiz' jab kahaa kuchh maajraa-e-dard-e-dil"
Hafeez JaunpuriHafeez Jaunpuri

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb