"yuun uThaa de hamaare ji se gharaz ho na tere sivaa kisi se gharaz vo manaaegaa jis se ruThe ho ham ko minnat se aajizi se gharaz ye bhi ehsaan hai qanaaat kaa apni aTki nahin kisi se gharaz ye mahal bhi maqaam-e-ibrat hai aadmi ko ho aadmi se gharaz dard-mandon ko kyaa davaa se kaam gham-nasibon ko kyaa khushi se gharaz husn aaraaishon kaa ho muhtaaj us ko aaine aarsi se gharaz chuur hain nashsha-e-mohabbat mein mai se matlab na mai-kashi se gharaz der tak diid ke maze luuTe khuub nikli ye be-khudi se gharaz be-niyaazi ki shaan hi ye nahin us ko bandon ki bandi se gharaz teri khaatir aziiz hai varna mujh ko dushman ki dosti se gharaz ham mohabbat ke bande hain vaaiz ham ko kyaa bahs mazhabi se gharaz dair ho kaaba ho kalisaa ho us ki dhun us ki bandagi se gharaz shaikh ko is qadar pilaate kyuun mai-kashon ko thi dil-lagi se gharaz us ko samjho na hazz-e-nafs 'hafiz' aur hi kuchh hai shaairi se gharaz"
munh miraa ek ek taktaa thaa — Hafeez Jaunpuri
"munh miraa ek ek taktaa thaa us ki mahfil mein main tamaashaa thaa ham jo tujh se phirein khudaa se phirein yaad hai kuchh ye qaul kis kaa thaa vasl mein bhi rahaa firaaq kaa gham shaam hi se sahar kaa khaTkaa thaa apni aankhon kaa kuchh qusur nahin husn hi dil-fareb is kaa thaa faatiha paDh rahe the vo jab tak meri turbat par ek melaa thaa naama-bar naama jab diyaa tu ne kuchh zabaani bhi us ne puchhaa thaa ab kuchh is kaa bhi eatibaar nahin pahle dil par baDaa bharosaa thaa vo jo ruk ruk ke puchhte the haal dil mein rah rah ke dard uThtaa thaa juThaa vaada bhi ai 'hafiz' un kaa zindagi kaa miri sahaaraa thaa"
منہ مرا ایک ایک تکتا تھا اس کی محفل میں میں تماشا تھا ہم جو تجھ سے پھریں خدا سے پھریں یاد ہے کچھ یہ قول کس کا تھا وصل میں بھی رہا فراق کا غم شام ہی سے سحر کا کھٹکا تھا اپنی آنکھوں کا کچھ قصور نہیں حسن ہی دل فریب اس کا تھا فاتحہ پڑھ رہے تھے وہ جب تک میری تربت پر ایک میلا تھا نامہ بر نامہ جب دیا تو نے کچھ زبانی بھی اس نے پوچھا تھا اب کچھ اس کا بھی اعتبار نہیں پہلے دل پر بڑا بھروسا تھا وہ جو رک رک کے پوچھتے تھے حال دل میں رہ رہ کے درد اٹھتا تھا جوٹھا وعدہ بھی اے حفیظؔ ان کا زندگی کا مری سہارا تھا
मुँह मिरा एक एक तकता था उस की महफ़िल में मैं तमाशा था हम जो तुझ से फिरें ख़ुदा से फिरें याद है कुछ ये क़ौल किस का था वस्ल में भी रहा फ़िराक़ का ग़म शाम ही से सहर का खटका था अपनी आँखों का कुछ क़ुसूर नहीं हुस्न ही दिल-फ़रेब इस का था फ़ातिहा पढ़ रहे थे वो जब तक मेरी तुर्बत पर एक मेला था नामा-बर नामा जब दिया तू ने कुछ ज़बानी भी उस ने पूछा था अब कुछ इस का भी ए'तिबार नहीं पहले दिल पर बड़ा भरोसा था वो जो रुक रुक के पूछते थे हाल दिल में रह रह के दर्द उठता था जूठा वा'दा भी ऐ 'हफ़ीज़' उन का ज़िंदगी का मिरी सहारा था

More by Hafeez Jaunpuri
View all →"adaa pariyon ki surat huur ki aankhein ghazaalon ki gharaz maange ki har ik chiiz hai in husn vaalon ki bajaae-raqs mai-khaane mein hai gardish piyaalon ki takalluf-bar-taraf ye bazm hai allaah vaalon ki nishaan jab miT gayaa turbat kaa aae faatiha paDhne unhein kab yaad aai hain vafaaein marne vaalon ki huaa do gaz kafan mun'im ko haasil maal-e-duniyaa se bandhi rakkhi hi aakhir rah gai gaThri doshaalon ki dukhaa kar dil miraa phir aap hi uzr-e-jafaa karnaa are kaafir tiri ik chaal hai ye laakh chaalon ki abhi tum ko bahut kuchh naaz hai tirchhi nigaahon par magar dekhi nahin taasir tum ne mere naalon ki tire hote hue ye baat ghairat ki hai o zaalim uDaae aasmaan yuun khaak teri paaemaalon ki bhale hain yaa bure jo kuchh hain bande to khudaa ke hain nadaamat is qadar vaa'iz na kar mai-khaane vaalon ki hui bauchhaar mujh par shikva-e-bejaa ki phir kyaa kyaa jahaan chheDaa unhein bas khul gai gaThri malaalon ki gunahgaar-e-mohabbat hain jidhar guzreinge mahshar mein hamaare saath saath ik bhiiD hogi khush-jamaalon ki farishton se 'hafiz' ik din lahad mein guftugu hogi abhi se fikr laazim hai tumhein un ke savaalon ki"
"ab to nahin aasraa kisi kaa allaah hai apni bekasi kaa o aankh badal ke jaane vaale kuchh dhyaan kisi ki aajizi kaa bimaar ko dijiye tasalli ye vaqt nahin jali-kaTi kaa aapas mein hui jo bad-gumaani mushkil hai nibaah dosti kaa baalin se koi uThaa ye kah kar anjaam ba-khair ho kisi kaa gham kaa bhi qayaam kuchh na Thahraa ronaa kyaa roiye khushi kaa pahunchaa hi diyaa kisi gali tak allaah-re zor be-khudi kaa aakhir ko sharaab rang laai chhuptaa nahin raaz mai-kashi kaa andheraa 'hafiz' ho rahaa hai bujhtaa hai charaagh zindagi kaa"
"un ko dil de ke pashemaani hai ye bhi ik tarah ki naadaani hai vasl se aaj nayaa hai inkaar tum ne kab baat miri maani hai aap dete hain tasalli kis ko ham ne ab aur hi kuchh Thaani hai haal bin puchhe kahe jaataa huun apne matlab ki ye naadaani hai kis qadar baar huun gham-khvaaron par kyaa subuk meri giraan-jaani hai ghar bulaa kar vo mujhe lauTte hain ye nai tarah ki mehmaani hai ham se vahshat ki na le o majnun ham ne bhi khaak bahut chhaani hai khaak uDti hai jidhar jaataa huun kyaa muqaddar ki pareshaani hai ghar bhi viraana nazar aataa hai haae kyaa be-sar-o-saamaani hai aai kyuun un ki shikaayat lab tak ham ko khud us ki pashemaani hai kahin do din na rahaa jam ke 'hafiz' ek aavaara hai sailaani hai"
"junun ke josh mein phirte hain maare maare ab ajal lagaa de kahin gor ke kinaare ab gayaa jo haath se vo vaqt phir nahin aataa kahaan umiid ki phir din phirein hamaare ab ajab nahin hai ki phir aaj ham sahar dekhein ki aasmaan pe ginti ke hain sitaare ab jab us ke haath mein dil hai miri balaa jaane mile vo paanv se yaa apne sar se vaare ab inaayaton ki vo baatein na vo karam ki nigaah badal gae hain kuchh andaaz ab tumhaare ab ye Dar hai ho na sar-e-rahguzaar hangaama samajh ke kijiye darbaan se kuchh ishaare ab 'hafiz' sochiye is baat mein hain do pahlu kahaa hai us ne ki ab ho chuke tumhaare ab"
"jaan hi jaae to jaae dard-e-dil ik yahi hai ab davaa-e-dard-e-dil ab taDapne mein mazaa miltaa nahin ho chali jaan aashnaa-e-dard-e-dil imtihaan-e-zabt hai manzur aaj jis qadar chaahe sataae dard-e-dil bhaagti hai duur jis se maut bhi vo balaa hai ye balaa-e-dard-e-dil rahm kab aayaa kisi be-dard ko ho chuki jab intihaa-e-dard-e-dil khaa ke kuchh so rahte hain hirmaan-nasib ek ye bhi hai davaa-e-dard-e-dil ham marizon kaa nahin mumkin ilaaj laa-davaa hain mubtalaa-e-dard-e-dil rahti hai siine hi par tasvir-e-dost hai ye taaviz ik baraa-e-dard-e-dil rote rote bandh gai hichki 'hafiz' jab kahaa kuchh maajraa-e-dard-e-dil"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"khaamushi ke batn se ye guftani paidaa hui main ba-zaahir chup huaa aur shaaeri paidaa hui is tarah saabit huaa gham aur khushi kaa imtizaaj hanste hanste us ki aankhon mein nami paidaa hui jurm ki paadaash mein ham khaak par pheinke gae so yahaan par intiqaaman zindagi paidaa hui khauf ne hi maslahat ki raah bhi ijaad ki main andheron se Daraa aur raushni paidaa hui dil mein kab utri kisi ke be-maaani guftugu baat karne se to bas aavaaz hi paidaa hui"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"