SHAWORDS

apne andar dhyaan lagaae baiThaa huun — Munir Anwar

HomeMunir AnwarGhazal
"apne andar dhyaan lagaae baiThaa huun aavaazon par kaan lagaae baiThaa huun aaine mein apnaa 'aks hai main jis par kitne surkh nishaan lagaae baiThaa huun dekh mire dushman kuchh bhi ho saktaa hai is baazi par jaan lagaae baiThaa huun lafz bhi kaarobaar hain ek havaale se main bhi ek dukaan lagaae baiThaa huun duniyaa khel tamaashaa hai aur main 'anvar' daao par imaan lagaae baiThaa huun"
Urdu

اپنے اندر دھیان لگائے بیٹھا ہوں آوازوں پر کان لگائے بیٹھا ہوں آئینے میں اپنا عکس ہے میں جس پر کتنے سرخ نشان لگائے بیٹھا ہوں دیکھ مرے دشمن کچھ بھی ہو سکتا ہے اس بازی پر جان لگائے بیٹھا ہوں لفظ بھی کاروبار ہیں ایک حوالے سے میں بھی ایک دکان لگائے بیٹھا ہوں دنیا کھیل تماشا ہے اور میں انورؔ داؤ پر ایمان لگائے بیٹھا ہوں

Hindi

अपने अंदर ध्यान लगाए बैठा हूँ आवाज़ों पर कान लगाए बैठा हूँ आईने में अपना 'अक्स है मैं जिस पर कितने सुर्ख़ निशान लगाए बैठा हूँ देख मिरे दुश्मन कुछ भी हो सकता है इस बाज़ी पर जान लगाए बैठा हूँ लफ़्ज़ भी कारोबार हैं एक हवाले से मैं भी एक दुकान लगाए बैठा हूँ दुनिया खेल तमाशा है और मैं 'अनवर' दाओ पर ईमान लगाए बैठा हूँ

apne andar dhyān lagā.e baiThā huuñ
Munir Anwar
Munir Anwar
Munir Anwar
poet22 quotes

More by Munir Anwar

View all →
Quote
"gali gali hain bheDiye muhaafizon ke ruup mein kasaafaton kaa raaj hai nafaasaton ke ruup mein ham ahl-e-shauq zakhm chaaTte ravaan-davaan rahe saDak pe khaar the saje hue gulon ke ruup mein huzur vaqt mil sake to ek baar dekh lein ye saailon ke masale hain faailon ke ruup mein kahaa gayaa thaa manzil-e-muraad paaeinge magar hamein jo raahzan mile hain rahbaron ke ruup mein ab apne khuun par bhi e'timaad kuchh muhaal hai safediyaan chhipi hui hain surkhiyon ke ruup mein baDe qalam-farosh log the jinhon ne aakhirash hamein tabaah kar diyaa hai 'aalamon ke ruup mein abhi se kyon gumaan-e-tark-e-'aashiqi huaa tumhein abhi to naachtaa hai khuun dhaDkanon ke ruup mein"
Munir AnwarMunir Anwar
Quote
"ghazal kahun ki tujhe haasil-e-ghazal likhun main lafz likhun magar phir badal badal likhun tumhaare saath jo lamhe nasib mein aae unhein main umr kahun aur ek pal likhun abad qaraar duun chaahat ki har nishaani ko main tere pyaar ko sarmaaya-e-azal likhun tiri nazar ke badalte hue ishaaron ko main teraa aaj kahun aur apnaa kal likhun likhun to likhtaa chalaa jaaun ishq ki zid hai hai maslahat kaa taqaazaa sambhal sambhal likhun vo meri ruuh mein shaamil hai is tarah 'anvar' bin us ke ziist faqat saans kaa amal likhun"
Munir AnwarMunir Anwar
Quote
"milaa to de ke judaai chalaa gayaa aakhir hamaare hisse mein tanhaa safar rahaa aakhir agar ye tai thaa ki har baat se mukarnaa hai to saath dene kaa vaada hi kyon kiyaa aakhir use khayaal thaa kitnaa jahaan vaalon kaa isi khayaal mein jaan se guzar gayaa aakhir tazaad-e-fikr kaa ilzaam kuchh durust nahin kahaa thaa main ne jo avval vahi kahaa aakhir vo mere dard mire gham ko baanTne vaalaa ik aur karb mujhe daan kar gayaa aakhir tumhein yaqin thaa ham dosti nibhaa leinge hamein gumaan thaa jis kaa vahi huaa aakhir faraaz-e-daar se pahle kaa vaqt mushkil thaa kisi ki yaad ke saae mein kaT gayaa aakhir jab ikhtiyaar thaa tum faisla sunaa dete tamaam umr tazabzub mein kyon rakkhaa aakhir main us ke haath se niklaa huaa zamaana thaa vo meri khoj mein niklaa bikhar gayaa aakhir main e'tibaar ki duniyaa se kaT gayaa 'anvar' kisi ke saath main itnaa bhi kyon chalaa aakhir"
Munir AnwarMunir Anwar
Quote
"tire khayaal mein had se guzar gayaa koi gham-e-hayaat ko hairaan kar gayaa koi havaaein jin ke ishaaron pe raqs karti hain charaagh vo mire raste pe dhar gayaa koi mujhe pata bhi nahin chal sakaa magar mujh mein tamaam rang mohabbat ke bhar gayaa koi main she'r kahtaa rahaa jis ki yaad mein ab tak kal us ke jaisaa ghazal mein utar gayaa koi labon tak aayaa huaa qahqaha na rok sakaa phir us ki guunj suni aur Dar gayaa koi main khvaab buntaa rahaa zindagi ke aur kahin fareb-e-zist se ghabraa ke mar gayaa koi main sochtaa huun ki us kaa likhaa dikhaaun use kahe sune se to yaksar mukar gayaa koi bas ik zaraa si tavajjoh ki baat thi 'anvar' nazar nazar se mili aur sanvar gayaa koi"
Munir AnwarMunir Anwar

More on Maa

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb