Quote
"vajud par inhisaar main ne nahin kiyaa thaa ki khaak kaa e'tibaar main ne nahin kiyaa thaa safed resham ki oDhni mere haath mein thi magar use daagh-daar main ne nahin kiyaa thaa ye be-niyaazi ki khu mire husn mein bahut thi magar use be-qaraar main ne nahin kiyaa thaa milaa thaa khorajin mein liye meraa kaasa-e-sar magar use sharmsaar main ne nahin kiyaa thaa kahin se yak-lakht zindagi meri kaaT degaa jo raasta ikhtiyaar main ne nahin kiyaa thaa sumon-tale raund de khushi se magar ye sun le gunaah ai shahsavaar! main ne nahin kiyaa thaa dikhaai dene lagaa vo ik tisraa kinaaraa abhi javaani ko paar main ne nahin kiyaa thaa ghurub kaa vaqt thaa muqarrar so chal paDaa main kisi kaa phir intizaar main ne nahin kiyaa thaa"
