"dasht-navardi mein koi saat thaa main bhi ajab manzar-e-baaghaat thaa zarra thaa yaa khaar thaa jo kuchh bhi thaa mere liye shaareh-e-aayaat thaa Duub gae is mein kai puure chaand dar tiraa chaah-e-tilismaat thaa mujh ko ye dhun saae mein baiThein kahin tujh ko magar shauq-e-muhimmaat thaa paanv tale uDtaa huaa takht-e-zar sar pe mire saaya-e-jinnaat thaa"
khizaan tujh par ye kaisaa barg-o-baar aane lagaa hai — Mohammad Izhar Ul Haq
"khizaan tujh par ye kaisaa barg-o-baar aane lagaa hai mujhe ab mausamon par e'tibaar aane lagaa hai kahaan dopahr ki hiddat kahaan ThanDak shafaq ki siyah resham mein chaandi kaa ghubaar aane lagaa hai khuleinge vasl ke dar dusri duniyaaon mein bhi bil-aakhir hijr ke rukh par nikhaar aane lagaa hai mire asbaab mein mashkiza-o-khurjin rakhnaa safar ki shaam hai aur regzaar aane lagaa hai falak ko baar baar ahl-e-zamin yuun dekhte hain ki jaise ghaib se koi savaar aane lagaa hai"
خزاں تجھ پر یہ کیسا برگ و بار آنے لگا ہے مجھے اب موسموں پر اعتبار آنے لگا ہے کہاں دوپہر کی حدت کہاں ٹھنڈک شفق کی سیہ ریشم میں چاندی کا غبار آنے لگا ہے کھلیں گے وصل کے در دوسری دنیاؤں میں بھی بالآخر ہجر کے رخ پر نکھار آنے لگا ہے مرے اسباب میں مشکیزہ و خورجین رکھنا سفر کی شام ہے اور ریگزار آنے لگا ہے فلک کو بار بار اہل زمیں یوں دیکھتے ہیں کہ جیسے غیب سے کوئی سوار آنے لگا ہے
ख़िज़ाँ तुझ पर ये कैसा बर्ग-ओ-बार आने लगा है मुझे अब मौसमों पर ए'तिबार आने लगा है कहाँ दोपहर की हिद्दत कहाँ ठंडक शफ़क़ की सियह रेशम में चाँदी का ग़ुबार आने लगा है खुलेंगे वस्ल के दर दूसरी दुनियाओं में भी बिल-आख़िर हिज्र के रुख़ पर निखार आने लगा है मिरे अस्बाब में मश्कीज़ा-ओ-ख़ुरजीन रखना सफ़र की शाम है और रेगज़ार आने लगा है फ़लक को बार बार अहल-ए-ज़मीं यूँ देखते हैं कि जैसे ग़ैब से कोई सवार आने लगा है

More by Mohammad Izhar Ul Haq
View all →"vajud par inhisaar main ne nahin kiyaa thaa ki khaak kaa e'tibaar main ne nahin kiyaa thaa safed resham ki oDhni mere haath mein thi magar use daagh-daar main ne nahin kiyaa thaa ye be-niyaazi ki khu mire husn mein bahut thi magar use be-qaraar main ne nahin kiyaa thaa milaa thaa khorajin mein liye meraa kaasa-e-sar magar use sharmsaar main ne nahin kiyaa thaa kahin se yak-lakht zindagi meri kaaT degaa jo raasta ikhtiyaar main ne nahin kiyaa thaa sumon-tale raund de khushi se magar ye sun le gunaah ai shahsavaar! main ne nahin kiyaa thaa dikhaai dene lagaa vo ik tisraa kinaaraa abhi javaani ko paar main ne nahin kiyaa thaa ghurub kaa vaqt thaa muqarrar so chal paDaa main kisi kaa phir intizaar main ne nahin kiyaa thaa"
"lahu mein kyaa bataaein raushni kaisi mili thi mili thi bas mohabbat jis tarah ki bhi mili thi bahut si jam' kar rakkhi thiin us ne kahkashaaein main royaa to mujhe ik qaash suraj ki mili thi uThaate kis tarah palkon ki lambaai kaa jhagDaa bahut mushkil se aankhein aur binaai mili thi hayaa thi aankh mein gandum ke khoshe haath mein the 'ajab haalat mein thi jab mujh ko uryaani mili thi yahin thi jo nazar aai thi mash'al thi ki aatish nubuvvat thi ki chingaari zamin par hi mili thi"
"mataa-e-be-bahaa aansu zamin mein bo diyaa thaa palaT kar jab tiraa ghar main ne dekhaa ro diyaa thaa asaa dar dast huun us din se binaai nahin hai sitaara aankh mein aayaa thaa main ne kho diyaa thaa zamaane husn sarvat hech sab us ke muqaabil tahi-kesa ko us pahli nazar ne jo diyaa thaa paron ki arghavaani chhaanv phailaai thi sar par bahishti nahr kaa paani musaafir ko diyaa thaa bas ik qindil thi jalti hui apne lahu mein yahi nazraana denaa thaa haram mein so diyaa thaa"
"main vahm bechtaa huun vasvase banaataa huun sitaare dekhtaa huun zaaiche banaataa huun garaan hai itnaa to kyon vaqt ho mujhe darkaar maze se baiThaa huaa bulbule banaataa huun musaafiron kaa mire ghar hujum rahtaa hai main pyaas baanTtaa huun aable banaataa huun kharid laataa huun pahle tire visaal ke khvaab phir un se apne liye rat-jage banaataa huun yahi nahin ki zaminein miri achhuti hain main aasmaan bhi apne liye banaataa huun"
"barun-e-dar nikalte hi bahut ghabraa gayaa huun main jis duniyaa mein thaa kyuun us se vaapas aa gayaa huun koi sayyaara mere aur us ke darmiyaan hai main kyaa thaa aur dekho kis tarah gahnaa gayaa huun mujhe raas aa na paaeinge ye paani aur miTTi ki main ik aur miTTi se huun aur murjhaa gayaa huun main patthar chuum kar tahlil ho jaaataa havaa mein magar zinda huun aur haihaat vaapas aa gayaa huun kahaan main aur kahaan darbaar kaa jahl-o-takabbur magar ik ism ki tasbih jis se chhaa gayaa huun"
More on Safar
View all →"aakhiri hal thaa yahi pesh-e-nazar jaane diyaa ek gahri saans li phir khvaab mar jaane diyaa saarbaanaa de gavaahi mujh ko pyaari thi anaa rakh liyaa zaad-e-safar aur ham-safar jaane diyaa hazrat-e-naaseh ki khush-uftaadgi pe daad hai khud jidhar se aae the sab ko udhar jaane diyaa is harim-e-naaz mein yuun be-mahaabaa guftugu kuchh bharam rakkhaa to hotaa tum ko gar jaane diyaa tujh ko rokaa jaa rahaa thaa raushni thi jab talak shaam ke Dhalte samay suraj ko ghar jaane diyaa aankh sapne dekhti thi aansuon se kyon bhari chaahti to puchh leti main magar jaane diyaa dostaa qismat na ho to koshishein bekaar hain sabr kaa paimaana ham ne khud hi bhar jaane diyaa dil musir thaa baarhaa kuchh jaanchne ko ruk gae aakhirash us ne hamein baar-e-digar jaane diyaa"
"aisaa to yahaan kuchh bhi nahin hadd-e-nazar tak ham ko to pahunchnaa thaa kisi khvaab-nagar tak ab paanv nahin raah mein dil thakne lagaa hai lekin hamein chalnaa to hai anjaam-e-safar tak ham shor bhi sunte hain samaaat se bahut kam aavaaz bhi jaati hai to bas hadd-e-nazar tak mumkin hai main ab sabr kaa ye peD giraa duun jab haath pahunchtaa hi nahin shaakh-e-samar tak ham apne hi mausam se parakhte hain jahaan ko maahaul kaa lete hi nahin koi asar tak main apne hi andar ki taraf chikh rahaa huun ab dekhiye jaati hai ye aavaaz kidhar tak"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"tire jamaal se ham runumaa nahin hue hain chamak rahe hain magar aaina nahin hue hain dhaDak rahaa hai tu ik ism ki hai ye barakat vagarna vaaqiye is dil mein kyaa nahin hue hain bataa na paaein to khud tum samajh hi jaao ki ham bilaa javaaz to be-maajraa nahin hue hain tiraa kamaal ki aankhon mein kuchh zabaan pe kuchh hamein to moajize aise ataa nahin hue hain ye mat samajh ki koi tujh se munharif hi nahin abhi ham ahl-e-junun lab-kushaa nahin hue hain ba-naam-e-zauq-e-sukhan khud-numaai aap karein ham is maraz mein abhi mubtalaa nahin hue hain hami vo jin kaa safar maavaraa-e-vaqt-o-vajud hami vo khud se kabhi jo rihaa nahin hue hain khud-aagahi bhi khaDi maangti hai apnaa hisaab junun ke qarz bhi ab tak adaa nahin hue hain kisi ne dil jo dukhaayaa kabhi to ham 'irfaan' udaas ho gae lekin khafaa nahin hue hain"
"ba-zom-e-aql ye kaisaa gunaah main ne kiyaa ik aainaa thaa usi ko siyaah main ne kiyaa ye shahr-e-kam-nazaraan ye dayaar-e-be-hunaraan kise ye apne hunar kaa gavaah main ne kiyaa harim-e-dil ko jalaane lagaa thaa ek khayaal so gul use bhi ba-yak sard aah main ne kiyaa vahi yaqin rahaa hai javaaz-e-ham-safari jo gaah us ne kiyaa aur gaah main ne kiyaa bas ek dil hi to hai vaaqif-e-rumuz-e-hayaat so shahr-e-jaan kaa use sarbaraah main ne kiyaa har ek ranj usi baab mein kiyaa hai raqam zaraa saa gham thaa jise be-panaah main ne kiyaa ye raah-e-ishq bahut sahl ho gai jab se hisaar-e-zaat ko paivand-e-raah main ne kiyaa ye umr ki hai basar kuchh ajab tavaazun se tiraa huaa na hi khud se nibaah main ne kiyaa khirad ne dil se kahaa tu junun-sifat hi sahi na puchh us ki ki jis ko tabaah main ne kiyaa"
"faqat saje hue divaar-o-dar kaa kyaa matlab jahaan sukun nahin aise ghar kaa kyaa matlab kisi ke kaam na aae to zar kaa kyaa matlab na phal na chhaanv hai aise shajar kaa kyaa matlab na raaston kaa Thikaana na manzilon kaa pataa tire baghair mire is safar kaa kyaa matlab koi hayaat ke maani bataa ke samjhaae tavil kyaa hai bhalaa mukhtasar kaa kyaa matlab"