"dasht-navardi mein koi saat thaa main bhi ajab manzar-e-baaghaat thaa zarra thaa yaa khaar thaa jo kuchh bhi thaa mere liye shaareh-e-aayaat thaa Duub gae is mein kai puure chaand dar tiraa chaah-e-tilismaat thaa mujh ko ye dhun saae mein baiThein kahin tujh ko magar shauq-e-muhimmaat thaa paanv tale uDtaa huaa takht-e-zar sar pe mire saaya-e-jinnaat thaa"
mataa-e-be-bahaa aansu zamin mein bo diyaa thaa — Mohammad Izhar Ul Haq
"mataa-e-be-bahaa aansu zamin mein bo diyaa thaa palaT kar jab tiraa ghar main ne dekhaa ro diyaa thaa asaa dar dast huun us din se binaai nahin hai sitaara aankh mein aayaa thaa main ne kho diyaa thaa zamaane husn sarvat hech sab us ke muqaabil tahi-kesa ko us pahli nazar ne jo diyaa thaa paron ki arghavaani chhaanv phailaai thi sar par bahishti nahr kaa paani musaafir ko diyaa thaa bas ik qindil thi jalti hui apne lahu mein yahi nazraana denaa thaa haram mein so diyaa thaa"
متاع بے بہا آنسو زمیں میں بو دیا تھا پلٹ کر جب ترا گھر میں نے دیکھا رو دیا تھا عصا در دست ہوں اس دن سے بینائی نہیں ہے ستارہ آنکھ میں آیا تھا میں نے کھو دیا تھا زمانے حسن ثروت ہیچ سب اس کے مقابل تہی کیسہ کو اس پہلی نظر نے جو دیا تھا پروں کی ارغوانی چھاؤں پھیلائی تھی سر پر بہشتی نہر کا پانی مسافر کو دیا تھا بس اک قندیل تھی جلتی ہوئی اپنے لہو میں یہی نذرانہ دینا تھا حرم میں سو دیا تھا
मता-ए-बे-बहा आँसू ज़मीं में बो दिया था पलट कर जब तिरा घर मैं ने देखा रो दिया था असा दर-दस्त हूँ उस दिन से बीनाई नहीं है सितारा आँख में आया था मैं ने खो दिया था ज़माने हुस्न सर्वत हेच सब उस के मुक़ाबिल तही-केसा को उस पहली नज़र ने जो दिया था परों की अर्ग़वानी छाँव फैलाई थी सर पर बहिश्ती नहर का पानी मुसाफ़िर को दिया था बस इक क़िंदील थी जलती हुई अपने लहू में यही नज़राना देना था हरम में सो दिया था

More by Mohammad Izhar Ul Haq
View all →"vajud par inhisaar main ne nahin kiyaa thaa ki khaak kaa e'tibaar main ne nahin kiyaa thaa safed resham ki oDhni mere haath mein thi magar use daagh-daar main ne nahin kiyaa thaa ye be-niyaazi ki khu mire husn mein bahut thi magar use be-qaraar main ne nahin kiyaa thaa milaa thaa khorajin mein liye meraa kaasa-e-sar magar use sharmsaar main ne nahin kiyaa thaa kahin se yak-lakht zindagi meri kaaT degaa jo raasta ikhtiyaar main ne nahin kiyaa thaa sumon-tale raund de khushi se magar ye sun le gunaah ai shahsavaar! main ne nahin kiyaa thaa dikhaai dene lagaa vo ik tisraa kinaaraa abhi javaani ko paar main ne nahin kiyaa thaa ghurub kaa vaqt thaa muqarrar so chal paDaa main kisi kaa phir intizaar main ne nahin kiyaa thaa"
"lahu mein kyaa bataaein raushni kaisi mili thi mili thi bas mohabbat jis tarah ki bhi mili thi bahut si jam' kar rakkhi thiin us ne kahkashaaein main royaa to mujhe ik qaash suraj ki mili thi uThaate kis tarah palkon ki lambaai kaa jhagDaa bahut mushkil se aankhein aur binaai mili thi hayaa thi aankh mein gandum ke khoshe haath mein the 'ajab haalat mein thi jab mujh ko uryaani mili thi yahin thi jo nazar aai thi mash'al thi ki aatish nubuvvat thi ki chingaari zamin par hi mili thi"
"khizaan tujh par ye kaisaa barg-o-baar aane lagaa hai mujhe ab mausamon par e'tibaar aane lagaa hai kahaan dopahr ki hiddat kahaan ThanDak shafaq ki siyah resham mein chaandi kaa ghubaar aane lagaa hai khuleinge vasl ke dar dusri duniyaaon mein bhi bil-aakhir hijr ke rukh par nikhaar aane lagaa hai mire asbaab mein mashkiza-o-khurjin rakhnaa safar ki shaam hai aur regzaar aane lagaa hai falak ko baar baar ahl-e-zamin yuun dekhte hain ki jaise ghaib se koi savaar aane lagaa hai"
"main vahm bechtaa huun vasvase banaataa huun sitaare dekhtaa huun zaaiche banaataa huun garaan hai itnaa to kyon vaqt ho mujhe darkaar maze se baiThaa huaa bulbule banaataa huun musaafiron kaa mire ghar hujum rahtaa hai main pyaas baanTtaa huun aable banaataa huun kharid laataa huun pahle tire visaal ke khvaab phir un se apne liye rat-jage banaataa huun yahi nahin ki zaminein miri achhuti hain main aasmaan bhi apne liye banaataa huun"
"barun-e-dar nikalte hi bahut ghabraa gayaa huun main jis duniyaa mein thaa kyuun us se vaapas aa gayaa huun koi sayyaara mere aur us ke darmiyaan hai main kyaa thaa aur dekho kis tarah gahnaa gayaa huun mujhe raas aa na paaeinge ye paani aur miTTi ki main ik aur miTTi se huun aur murjhaa gayaa huun main patthar chuum kar tahlil ho jaaataa havaa mein magar zinda huun aur haihaat vaapas aa gayaa huun kahaan main aur kahaan darbaar kaa jahl-o-takabbur magar ik ism ki tasbih jis se chhaa gayaa huun"
More on Dil
View all →"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"kisi ki mehrbaani ho gai hai ayaan dil ki kahaani ho gai hai hare mausam ki pahli khvaahishein uf khushi gham ki divaani ho gai hai sabhi afraad ghar ke so gae hain bahut lambi kahaani ho gai hai rivaayat kaa hai ab bhi sahar qaaem har ik jiddat puraani ho gai hai pas-e-chehra milaa ik aur chehra 'aqidat paani paani ho gai hai"