"khaak kaa rizq yahaan har kas-o-naa-kas niklaa ye badan sinchne vaalaa baDaa bebas niklaa vo jo kartaa thaa sadaa khirqa-e-darvesh ki baat vo bhi darbaar mein vaarafta-e-atlas niklaa zarfishaan hai miri zarkhez zaminon kaa badan zarra zarra mire punjab kaa paaras niklaa meri hairat ko bhi taarikh mein mahfuz karo mere ahbaab mein har shakhs buroTas niklaa titliyaan pyaar ki thak-haar ke lauT aai hain ghuncha-e-chashm hi us shakhs kaa be-ras niklaa ye qalam mujrim-e-tausif-e-ghazaalaan 'anjum' vaqt paDne pe to ye fiil kaa aankas niklaa"
dastaar-e-hunar bakhshish-e-darbaar nahin hai — Anjum Khaleeq
"dastaar-e-hunar bakhshish-e-darbaar nahin hai sad shukr ki shaanon pe ye sar baar nahin hai ab to ye makaan qatl-gahein banne lage hain achchhaa hai vo jis kaa koi ghar-baar nahin hai tahris-o-sazaa se nahin badleinge bayaan ham ik baar nahin jab hai to har baar nahin hai har ek pe khul jaae bilaa farq maraatib aisaa ho to dahliz pe darbaar nahin hai aa jaae tavaazun mein ye maahaul ki mizaan insaaf ke palDe mein magar baar nahin hai zulmat se nikal aaein chamakte hue raste par mashal-e-ehsaas sharar-baar nahin hai haath aaegaa kyaa saahil-e-lab se hamein 'anjum' jab dil kaa samundar hi guhar-baar nahin hai"
دستار ہنر بخشش دربار نہیں ہے صد شکر کہ شانوں پہ یہ سر بار نہیں ہے اب تو یہ مکاں قتل گہیں بننے لگے ہیں اچھا ہے وہ جس کا کوئی گھر بار نہیں ہے تحریص و سزا سے نہیں بدلیں گے بیاں ہم اک بار نہیں جب ہے تو ہر بار نہیں ہے ہر ایک پہ کھل جائے بلا فرق مراتب ایسا ہو تو دہلیز پہ دربار نہیں ہے آ جائے توازن میں یہ ماحول کی میزان انصاف کے پلڑے میں مگر بار نہیں ہے ظلمت سے نکل آئیں چمکتے ہوئے رستے پر مشعل احساس شرر بار نہیں ہے ہاتھ آئے گا کیا ساحل لب سے ہمیں انجمؔ جب دل کا سمندر ہی گہر بار نہیں ہے
दस्तार-ए-हुनर बख़्शिश-ए-दरबार नहीं है सद शुक्र कि शानों पे ये सर बार नहीं है अब तो ये मकाँ क़त्ल-गहें बनने लगे हैं अच्छा है वो जिस का कोई घर-बार नहीं है तहरीस-ओ-सज़ा से नहीं बदलेंगे बयाँ हम इक बार नहीं जब है तो हर बार नहीं है हर एक पे खुल जाए बिला फ़र्क़ मरातिब ऐसा हो तो दहलीज़ पे दरबार नहीं है आ जाए तवाज़ुन में ये माहौल की मीज़ान इंसाफ़ के पलड़े में मगर बार नहीं है ज़ुल्मत से निकल आएँ चमकते हुए रस्ते पर मशअ'ल-ए-एहसास शरर-बार नहीं है हाथ आएगा क्या साहिल-ए-लब से हमें 'अंजुम' जब दिल का समुंदर ही गुहर-बार नहीं है

More by Anjum Khaleeq
View all →"mire junun ko havas mein shumaar kar legaa vo mere tiir se mujh ko shikaar kar legaa mujhe gumaan bhi nahin thaa ki Dubtaa huaa dil muhit jism ko ik roz paar kar legaa main us ki raah chalun bhi to faaeda kyaa hai vo koi aur ravish ikhtiyaar kar legaa fasil-e-shahr mein rukne ki hi nahin ye khabar jo kaam ham se na hogaa ghubaar kar legaa vo gul-badan kabhi niklaa jo sair-e-sahraa ko to apne saath havaa-e-bahaar kar legaa jahaan pe baat faqat naqd-e-jaan se banti ho vo khush-kalaam vahaan bhi udhaar kar legaa ham aise log bahut khush-gumaan hote hain ye dil zarur tiraa e'tibaar kar legaa khulegaa is pe hi 'anjum'-khaliq baab-e-qubul jo apnaa haqq-e-talab ustuvaar kar legaa"
"kuchh 'uzr pas-e-vaada-khilaafi nahin rakhte ho kaise masihaa dam-e-shaafi nahin rakhte aise to na the zakhm ki jo bhar hi na paate ahbaab magar zarf-e-talaafi nahin rakhte is chain se jiine mein koi bhed nahin hai bas ye ki tamannaaein izaafi nahin rakhte is daur mein insaaf panap hi nahin saktaa ikhlaas-e-qalam jis mein sahaafi nahin rakhte hain aur bhi duniyaa mein sukhanvar bahut achchhe ham jaisaa magar zauq-e-qavaafi nahin rakhte ye mo'jiza mohtaaj hai pindaar-e-vafaa kaa sab teshe dam-e-koh-shigaafi nahin rakhte har baat mein kam-maaya nazar aate hain 'anjum' raahat to kujaa dard bhi kaafi nahin rakhte"
"biite hue lamhaat ko pahchaan mein rakhnaa murjhaae hue phuul bhi gul-daan mein rakhnaa kyaa jaanein safar khair se guzre ki na guzre tum ghar kaa pata bhi mire saamaan mein rakhnaa kyaa din the mujhe shauq se mehmaan bulaanaa aur khud ko magar khidmat-e-mehmaan mein rakhnaa kyaa vaqt thaa kyaa vaqt hai is soch se haasil chhoDo jo huaa kyaa use mizaan mein rakhnaa insaan ki niyyat kaa bharosa nahin koi milte ho to is baat ko imkaan mein rakhnaa pursish hai bahut sakht vahaan fard-e-amal ki kuchh naat ke ashaar bhi divaan mein rakhnaa mukhlis ho raho Tokaa hai kis ne tumhein 'anjum' raftaar-e-zamaana bhi magar dhyaan mein rakhnaa"
"jab tak fasil-e-jism kaa dar khul na jaaegaa is dil ki yurishon kaa tasalsul na jaaegaa khemon se taa-furaat jo dariyaa-e-khun hai ye us par se maslahat kaa koi pul na jaaegaa us ko gumaan nahin thaa ki ahd-e-khizaan mein bhi ye zauq-e-naghma-rezi-e-bulbul na jaaegaa ye abr-e-aagahi jo barastaa rahaa yunhi miTTi kaa ye vajud miraa ghul na jaaegaa girtaa rahegaa yunhi balaaon kaa aabshaar jab tak ghubaar-e-qalb-o-nazar dhul na jaaegaa vo shakhs to khudaai ke daave pe tul gayaa is had pe ham samajhte the bilkul na jaaegaa bas ai nigaar-e-zist yaqin aa gayaa hamein ye teri be-rukhi ye taammul na jaaegaa 'anjum' nigaar-e-zist ko phir chaahiye vahi ik sar jo khvaahishon ke evaz tul na jaaegaa"
"badal chuke hain sab agli rivaayaton ke nisaab jo the savaab-o-gunah ho gae gunaah-o-savaab numu ke baab mein vo bebasi kaa aalam hai bahaar maang rahi hai khizaan ruton se gulaab badal ke jaam bhi ham to rahe khasaare mein hamaare paas lahu thaa tumhaare paas sharaab mire kahe ko amaanat samajhnaa mauj-e-havaa main aane vaale zamaanon se kar rahaa huun khitaab so meri pyaas kaa donon taraf ilaaj nahin udhar hai ek samundar idhar hai ek saraab khud aagahi kaa saliqa sikhaa gayaa 'anjum' mire khilaaf mire doston kaa istisvaab"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"