"kyaa iraade hain vahshat-e-dil ke kis se milnaa hai khaak mein mil ke ai dil-e-shikva-sanj kyaa guzri kis liye honT rah gae sil ke miTte jaate hain raah-e-umr mein dost mil rahe hain nishaan manzil ke chhoD 'naatiq' fazaa-e-bazm-e-shikast uTh ke TukDe sambhaal le dil ke"
dayaar-e-hosh ki pahle junun khabar lenaa — Natiq Gulavthi
"dayaar-e-hosh ki pahle junun khabar lenaa uDaa ke dhuul na miTTi kharaab kar lenaa jafaa bhi ho to vo tum jaano aur ham jaanein na ho kisi ko khabar is tarah khabar lenaa nishaani le ke chaleinge vatan ko ghurbat ki kahin se dasht kaa daaman zaraa katar lenaa niyaaz-e-husn bhi hai zindagi ke dhandon mein kisi pe marne ki fursat mile to mar lenaa isi jahaan se miltaa hai dars-e-ibrat bhi hazaar shart hai lenaa na kuchh magar lenaa na mai-kashi na ibaadat hamaari aadat hai ki saamne koi kaam aa gayaa to kar lenaa vafaa kharaab hai raftaar-e-bahr-e-hasti ki abhi to Duub hi jaa phir kabhi ubhar lenaa janaab-e-shaikh to baar-e-gunah se ghabraae hami uThaaeinge 'naatiq' zaraa idhar lenaa"
دیار ہوش کی پہلے جنوں خبر لینا اڑا کے دھول نہ مٹی خراب کر لینا جفا بھی ہو تو وہ تم جانو اور ہم جانیں نہ ہو کسی کو خبر اس طرح خبر لینا نشانی لے کے چلیں گے وطن کو غربت کی کہیں سے دشت کا دامن ذرا کتر لینا نیاز حسن بھی ہے زندگی کے دھندوں میں کسی پہ مرنے کی فرصت ملے تو مر لینا اسی جہان سے ملتا ہے درس عبرت بھی ہزار شرط ہے لینا نہ کچھ مگر لینا نہ مے کشی نہ عبادت ہماری عادت ہے کہ سامنے کوئی کام آ گیا تو کر لینا وفا خراب ہے رفتار بحر ہستی کی ابھی تو ڈوب ہی جا پھر کبھی ابھر لینا جناب شیخ تو بار گنہ سے گھبرائے ہمی اٹھائیں گے ناطقؔ ذرا ادھر لینا
दयार-ए-होश की पहले जुनूँ ख़बर लेना उड़ा के धूल न मिट्टी ख़राब कर लेना जफ़ा भी हो तो वो तुम जानो और हम जानें न हो किसी को ख़बर इस तरह ख़बर लेना निशानी ले के चलेंगे वतन को ग़ुर्बत की कहीं से दश्त का दामन ज़रा कतर लेना नियाज़-ए-हुस्न भी है ज़िंदगी के धंदों में किसी पे मरने की फ़ुर्सत मिले तो मर लेना इसी जहान से मिलता है दर्स-ए-इबरत भी हज़ार शर्त है लेना न कुछ मगर लेना न मय-कशी न इबादत हमारी आदत है कि सामने कोई काम आ गया तो कर लेना वफ़ा ख़राब है रफ़्तार-ए-बहर-ए-हस्ती की अभी तो डूब ही जा फिर कभी उभर लेना जनाब-ए-शैख़ तो बार-ए-गुनह से घबराए हमी उठाएँगे 'नातिक़' ज़रा इधर लेना
More by Natiq Gulavthi
View all →"kyuun khayaal-e-ranj-o-raahat se na hon begaana ham jalva-gaah-e-yaar hai dil yaa'ni khalvat-khaana ham hain kabhi vaa'iz kabhi hain murshid-e-mai-khaana ham ghumte jaate hain hasb-e-gardish-e-paimaana ham laakh par bhaari hain teri dast-giri chaahiye kyuun kisi pe baar hon ai himmat-e-mardaana ham khaaiye ye zahr kab tak khaae jaati hai ye ziist ai ajal kab tak raheinge rahn-e-aab-o-daana ham tu hamein kahtaa hai divaana to divaane sahi pand-go aakhir tujhe ab kyaa kahein divaana ham muddai dil 'ishq aain-o-adaalat bazm-e-naaz did-baazi jurm mujrim aankh hai jurmaana ham aab-e-ashk-o-aatish-e-shauq-o-havaa-e-aah se hain vajud-aaraai-e-khaakistar-e-parvaana ham gum hai naam-e-aamiri khuub ai nigaah-e-saamri tere afsun se bane hain zinat-e-afsaana ham vajh-e-rusvaai hai 'naatiq' masti-e-bazm-e-sukhan baada-paimaa hain ba-jaam-e-ghaalib-e-mastaana ham"
"nahin ruktaa to jaa khudaa-haafiz ai dil-e-mubtalaa khudaa-haafiz aai hogi to maut aaegi tum to jaao miraa khudaa haafiz ham chale rehn-e-aarzu ho kar dil-e-be-muddaaa khudaa-haafiz ek kaafir ki hai nazar dil par mere imaan kaa khudaa haafiz bas khudaa yaad aa gayaa 'naatiq' jab vo kah kar chalaa khudaa-haafiz"
"baada-masti aa karaamat ho ke maikhaane mein aa chal pari shishe se uD kar mere paimaane mein aa dusraa aisaa kahaan ai dasht khalvat kaa maqaam apni viraani ko le kar mere viraane mein aa vahshat-e-dil ki nahin tadbir juz afsurdagi tangi-e-zindaan kisi pahlu se divaane mein aa kar murattab kuchh nae andaaz se apnaa bayaan marne vaale zindagi chaahe to afsaane mein aa chal nikal jaaein idhar se apni duniyaa ki taraf haan tu ai taar-e-nafas tasbih ke daane mein aa pel zor aape se baahar ho ke jaaegaa kahaan aadmi ban aadmi aa apne paimaane mein aa daaman-e-faanus mein ai shama khud-daari nahin kisvat-e-naamus agar chaahe to parvaane mein aa khatm karnaa chaahtaa huun pech-o-taab-e-zindagi yaad-e-gesu zor-e-baazu ban mire shaane mein aa ho chali hai rasm-e-ahl-e-kaaba 'naatiq' ab to aam barhaman bhi mujh se kahtaa hai ki but-khaane mein aa"
"aa ke bazm-e-hasti mein kyaa bataaein kyaa paayaa ham ko thaa hi kyaa lenaa but mile khudaa paayaa hai maraz to jo kuchh hai thi davaa to jaisi thi chaarasaaz ko ham ne haan ghaTaa huaa paayaa dusron ko kyaa kahiye dusri hai duniyaa hi ek ek apne ko ham ne dusraa paayaa kam samajh mein aate hain ab to us ke gul-buTe ham ne naqsh-e-hasti ko kuchh miTaa miTaa paayaa baiTh kar to 'naatiq' se baat ki nahin ham ne raah chalte dekhaa thaa kuchh chalaa huaa paayaa"
"jiine degaa bhi hamein ai dil jiein bhi yaa na ham kyaa kahein ab tujh ko ham tujh ko kahein ab kyaa na ham uTh gae ham darmiyaan se uTh gayaa ham se hijaab rah gae ham us ke ho kar rah gayaa pardaa, na ham daulat-e-dil kyaa hai jaa kar ahl-e-dil se puchhiye maal thaa apnaa bhi kuchh jaane magar rakhnaa na ham ranj-e-rusvaai nahin duniyaa hai rusvaai kaa ghar hain sabhi rusvaa to yuun samjho na tum rusvaa na ham faaeda kyaa rahti duniyaa tak agar koi rahaa ye to zaahir hai ki rahne ke liye duniyaa na ham khaa gai ahl-e-havas ki vaza ahl-e-ishq ko baat kis ki rah gai koi adu sachchaa na ham khud-faraamoshi ne rakkhaa hai giraftaar-e-khudi chhuTte kyuun chhoDte daaman agar apnaa na ham is se kuchh hoti agar 'naatiq' hamein taskin-e-taba aaj tak sab jama kar lete kalaam apnaa na ham"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"khaamushi ke batn se ye guftani paidaa hui main ba-zaahir chup huaa aur shaaeri paidaa hui is tarah saabit huaa gham aur khushi kaa imtizaaj hanste hanste us ki aankhon mein nami paidaa hui jurm ki paadaash mein ham khaak par pheinke gae so yahaan par intiqaaman zindagi paidaa hui khauf ne hi maslahat ki raah bhi ijaad ki main andheron se Daraa aur raushni paidaa hui dil mein kab utri kisi ke be-maaani guftugu baat karne se to bas aavaaz hi paidaa hui"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"