Quote
"chashm-e-nam par muskuraa kar chal diye aag paani mein lagaa kar chal diye saari mahfil laDkhaDaati rah gai mast aankhon se pilaa kar chal diye gard-e-manzil aaj tak hai be-qaraar ik qayaamat hi uThaa kar chal diye meri ummidon ki duniyaa hil gai naaz se daaman bachaa kar chal diye mukhtalif andaaz se dekhaa kiye sab ki nazrein aazmaa kar chal diye gulsitaan mein aap aae bhi to kyaa chand kaliyon ko hansaa kar chal diye vajd mein aa kar havaaein rah gaiin zer-e-lab kuchh gungunaa kar chal diye vo fazaa vo chaudhvin ki chaandni husn ki shabnam giraa kar chal diye vo tabassum vo adaaein vo nigaah sab ko divaana banaa kar chal diye kuchh khabar un ki bhi hai 'maahir' tumhein aap to ghazlein sunaa kar chal diye"
