SHAWORDS

maanaa maqaam-e-ishrat-e-hasti buland hai — Mahirul Qadri

HomeMahirul QadriGhazal
"maanaa maqaam-e-ishrat-e-hasti buland hai main dil ko kyaa karun ki use naa-pasand hai tum ko hijaab mujh ko tamaasha pasand hai meri nazar tumhaari nazar se buland hai allaah re dil ki ishq mein divaana-vaariyaan adnesha-e-ziyaan hai na khauf-e-gazand hai aankhon mein aa chuki hai mohabbat ki vaardaat tufaan-e-be-panaah piyaalon mein band hai ab un kaa intikhaab karegaa ye faisla ulfat buland hai ki tamannaa buland hai 'maahir' azal mein dil ne kiyaa gham kaa intikhaab un ki khataa nahin hai ye dil ki pasand hai"
Urdu

مانا مقام عشرت ہستی بلند ہے میں دل کو کیا کروں کہ اسے ناپسند ہے تم کو حجاب مجھ کو تماشہ پسند ہے میری نظر تمہاری نظر سے بلند ہے اللہ رے دل کی عشق میں دیوانہ واریاں اندیشۂ زیاں ہے نہ خوف گزند ہے آنکھوں میں آ چکی ہے محبت کی واردات طوفان بے پناہ پیالوں میں بند ہے اب ان کا انتخاب کرے گا یہ فیصلہ الفت بلند ہے کہ تمنا بلند ہے ماہرؔ ازل میں دل نے کیا غم کا انتخاب ان کی خطا نہیں ہے یہ دل کی پسند ہے

Hindi

माना मक़ाम-ए-इशरत-ए-हस्ती बुलंद है मैं दिल को क्या करूँ कि उसे ना-पसंद है तुम को हिजाब मुझ को तमाशा पसंद है मेरी नज़र तुम्हारी नज़र से बुलंद है अल्लाह रे दिल की इश्क़ में दीवाना-वारियाँ अंदेशा-ए-ज़ियाँ है न ख़ौफ़-ए-गज़ंद है आँखों में आ चुकी है मोहब्बत की वारदात तूफ़ान-ए-बे-पनाह पियालों में बंद है अब उन का इंतिख़ाब करेगा ये फ़ैसला उल्फ़त बुलंद है कि तमन्ना बुलंद है 'माहिर' अज़ल में दिल ने किया ग़म का इंतिख़ाब उन की ख़ता नहीं है ये दिल की पसंद है

maanā maqām-e-ishrat-e-hastī buland hai
Mahirul Qadri
Mahirul Qadri
Mahirul Qadri
poet27 quotes

More by Mahirul Qadri

View all →
Quote
"chashm-e-nam par muskuraa kar chal diye aag paani mein lagaa kar chal diye saari mahfil laDkhaDaati rah gai mast aankhon se pilaa kar chal diye gard-e-manzil aaj tak hai be-qaraar ik qayaamat hi uThaa kar chal diye meri ummidon ki duniyaa hil gai naaz se daaman bachaa kar chal diye mukhtalif andaaz se dekhaa kiye sab ki nazrein aazmaa kar chal diye gulsitaan mein aap aae bhi to kyaa chand kaliyon ko hansaa kar chal diye vajd mein aa kar havaaein rah gaiin zer-e-lab kuchh gungunaa kar chal diye vo fazaa vo chaudhvin ki chaandni husn ki shabnam giraa kar chal diye vo tabassum vo adaaein vo nigaah sab ko divaana banaa kar chal diye kuchh khabar un ki bhi hai 'maahir' tumhein aap to ghazlein sunaa kar chal diye"
Mahirul QadriMahirul Qadri
Quote
"kuchh is tarah nigaah se izhaar kar gae jaise vo mujh ko vaaqif-e-asraar kar gae iqraar kar diyaa kabhi inkaar kar gae be-khud banaa diyaa kabhi hushyaar kar gae yak-taai-e-jamaal ki hairat na puchhiye har maa-sivaa ke vahm se be-zaar kar gae kuchh is adaa se jalva-e-maani ki sharh ki mere khayaal-o-fikr ko bekaar kar gae allaah re un ke jalva-e-rangin ki fitratein saare jahaan ko naqsh-ba-divaar kar gae vaade kaa un ke zikr hi 'maahir' fuzul hai tum kyaa karoge vo agar inkaar kar gae"
Mahirul QadriMahirul Qadri
Quote
"ehsaas-e-khushi miT jaataa hai afsurda tabiat hoti hai dil par vo ghaDi bhi aati hai jab gham ki zarurat hoti hai do harf bhi mere sun na sake tum itne kyuun bezaar hue main ne tumhein apnaa samjhaa thaa apnon se shikaayat hoti hai ye sud-o-ziyaan ke paimaane ye jhuTe sachche afsaane in ahl-e-havas ki baaton se badnaam mohabbat hoti hai ik dusri botal aane tak ye durd-e-tah-e-saaghar hi sahi aur tishna-e-mai betaab na ho saaqi ko nadaamat hoti hai 'maahir' ki saada baaton se allaah bachaataa hai rakkhe khud to ye baDe hi hazrat hain auron ko nasihat hoti hai"
Mahirul QadriMahirul Qadri
Quote
"abhi dasht-e-karbalaa mein hai buland ye taraana yahi zindagi haqiqat yahi zindagi fasaana tiraa kaam tan ki puujaa miraa kaam man ki sevaa mujhe justuju yaqin ki tujhe fikr-e-aab-o-daana mire shauq-e-muztarib se hai ravaan nizaam-e-hasti jo Thahar gai mohabbat to Thahar gayaa zamaana vo faqih-e-ku-e-baatin hai adu-e-din-o-millat kisi khauf-e-duniyavi se jo taraash de fasaana tiraa khaar-o-khas pe takiya miraa ishq par bharosa mujhe barq se mohabbat tujhe khauf-e-aashiyaana mire jazb-e-dil ko 'maahir' koi kyaa samajh sakegaa miri shaairi ki had se abhi duur hai zamaana"
Mahirul QadriMahirul Qadri
Quote
"yusufi gar nahin mumkin to zulekhaai kar un se paidaa koi taqrib-e-shanaasaai kar pahle har gham ki mohabbat mein paziraai kar chaak phir daaman-e-tamkin-o-shakebaai kar ru-ba-ru un ke miraa haal sunaane vaale apni jaanib se bhi kuchh haashiya-aaraai kar na tamannaa na tiri yaad na gham ho na khushi kabhi aisaa bhi ataa aalam-e-tanhaai kar meri qismat mein hain patthar tiri qismat mein hain phuul apni shohrat se na andaaza-e-rusvaai kar sab mire haal-e-pareshaan kaa uDaate hain mazaaq ai gham-e-dost miri hausla-afzaai kar"
Mahirul QadriMahirul Qadri

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"aakhiri hal thaa yahi pesh-e-nazar jaane diyaa ek gahri saans li phir khvaab mar jaane diyaa saarbaanaa de gavaahi mujh ko pyaari thi anaa rakh liyaa zaad-e-safar aur ham-safar jaane diyaa hazrat-e-naaseh ki khush-uftaadgi pe daad hai khud jidhar se aae the sab ko udhar jaane diyaa is harim-e-naaz mein yuun be-mahaabaa guftugu kuchh bharam rakkhaa to hotaa tum ko gar jaane diyaa tujh ko rokaa jaa rahaa thaa raushni thi jab talak shaam ke Dhalte samay suraj ko ghar jaane diyaa aankh sapne dekhti thi aansuon se kyon bhari chaahti to puchh leti main magar jaane diyaa dostaa qismat na ho to koshishein bekaar hain sabr kaa paimaana ham ne khud hi bhar jaane diyaa dil musir thaa baarhaa kuchh jaanchne ko ruk gae aakhirash us ne hamein baar-e-digar jaane diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"aisaa to yahaan kuchh bhi nahin hadd-e-nazar tak ham ko to pahunchnaa thaa kisi khvaab-nagar tak ab paanv nahin raah mein dil thakne lagaa hai lekin hamein chalnaa to hai anjaam-e-safar tak ham shor bhi sunte hain samaaat se bahut kam aavaaz bhi jaati hai to bas hadd-e-nazar tak mumkin hai main ab sabr kaa ye peD giraa duun jab haath pahunchtaa hi nahin shaakh-e-samar tak ham apne hi mausam se parakhte hain jahaan ko maahaul kaa lete hi nahin koi asar tak main apne hi andar ki taraf chikh rahaa huun ab dekhiye jaati hai ye aavaaz kidhar tak"
N
Naeem Sameer