SHAWORDS

hamaare dard kaa us ko jo paas ho jaae — Muztar Azmi

HomeMuztar AzmiGhazal
"hamaare dard kaa us ko jo paas ho jaae hamein bhi jiine ki thoDi si aas ho jaae shahid-e-ishq ko ghusl-o-kafan mile na mile magar vo dafn tire ghar ke paas ho jaae tumhaaraa farz hai tum us pe Daal do parda tumhaare saamne jo be-libaas ho jaae mileinge tum ko inhin pattharon mein hiire bhi nigaah shart hai jauhar-shanaas ho jaae main jaantaa huun tiraa aaj-kal jo maqsad hai hamaare zehnon pe taari hiraas ho jaae tumhaari bazm mein maanaa guzaar luun ik din tamaam umr ki lekin na pyaas ho jaae vahaan se apni nazar pher kar guzar 'muztar' jahaan dikhaave kaa tujh ko qayaas ho jaae"
Urdu

ہمارے درد کا اس کو جو پاس ہو جائے ہمیں بھی جینے کی تھوڑی سی آس ہو جائے شہید عشق کو غسل و کفن ملے نہ ملے مگر وہ دفن ترے گھر کے پاس ہو جائے تمہارا فرض ہے تم اس پہ ڈال دو پردہ تمہارے سامنے جو بے لباس ہو جائے ملیں گے تم کو انہیں پتھروں میں ہیرے بھی نگاہ شرط ہے جوہر شناس ہو جائے میں جانتا ہوں ترا آج کل جو مقصد ہے ہمارے ذہنوں پہ طاری ہراس ہو جائے تمہاری بزم میں مانا گزار لوں اک دن تمام عمر کی لیکن نہ پیاس ہو جائے وہاں سے اپنی نظر پھیر کر گزر مضطرؔ جہاں دکھاوے کا تجھ کو قیاس ہو جائے

Hindi

हमारे दर्द का उस को जो पास हो जाए हमें भी जीने की थोड़ी सी आस हो जाए शहीद-ए-इश्क़ को ग़ुस्ल-ओ-कफ़न मिले न मिले मगर वो दफ़्न तिरे घर के पास हो जाए तुम्हारा फ़र्ज़ है तुम उस पे डाल दो पर्दा तुम्हारे सामने जो बे-लिबास हो जाए मिलेंगे तुम को इन्हीं पत्थरों में हीरे भी निगाह शर्त है जौहर-शनास हो जाए मैं जानता हूँ तिरा आज-कल जो मक़्सद है हमारे ज़ेहनों पे तारी हिरास हो जाए तुम्हारी बज़्म में माना गुज़ार लूँ इक दिन तमाम उम्र की लेकिन न प्यास हो जाए वहाँ से अपनी नज़र फेर कर गुज़र 'मुज़्तर' जहाँ दिखावे का तुझ को क़यास हो जाए

hamāre dard kā us ko jo paas ho jaa.e
Muztar Azmi
Muztar Azmi
Muztar Azmi
poet8 quotes

More by Muztar Azmi

View all →
Quote
"qadam milaa ke tujhe kaamyaab main ne kiyaa ki tere khvaab ko taabir-e-khvaab main ne kiyaa zamaana tujh ko bahut pichhe chhoD saktaa thaa ye jaan le ki tujhe ham-rikaab main ne kiyaa andheraa phailaa to maayusiyon ne gher liyaa nayaa ujaalaa magar baazyaab main ne kiyaa miri vafaa ki badaulat mahak uThaa sahraa babul tu ne ugaayaa gulaab main ne kiyaa main jaantaa thaa ki fitrat tiri na badlegi raqaabaton se magar ijtinaab main ne kiyaa gale lagaa le jo dushman ko vo farishta hai yunhi to tujh se nahin ehtisaab main ne kiyaa usi ki baanhon mein TuuTe na saans ai 'muztar' jise masihaa samajh kar khitaab main ne kiyaa"
Muztar AzmiMuztar Azmi
Quote
"tum aag ke dariyaa mein utar kyon nahin jaate sonaa ho to phir tap ke nikhar kyon nahin jaate hai tum ko agar quvvat-e-baazu pe bharosa jis samt mein tufaan hai udhar kyon nahin jaate hain tegh-o-tabar tir-o-sinaan mard ke zevar jab is ki zarurat hai sanvar kyon nahin jaate kyon jaate hain jangal mein darindon ke shikaari basti mein bhi ik roz bikhar kyon nahin jaate manjdhaar mein rokegi jo maujon ki ravaani dariyaa ke kinaare se guzar kyon nahin jaate sahraa mein kaDi dhuup hai jal jaaoge 'muztar' saae mein zaraa der Thahar kyon nahin jaate"
Muztar AzmiMuztar Azmi
Quote
"yaar ke bhes mein mahbub sitamgar niklaa phuul ham jis ko samajhte the vo patthar niklaa ek roTi ke evaz de gayaa jannat ki duaa mere kuche kaa bhikaari bhi mukhayyar niklaa aaj-kal aankh kaa dekhaa bhi ghalat hotaa hai jis ko samjhe the apaahij vo tavangar niklaa vaqt kamzor ko shah-zor banaa detaa hai shaam ko Duubaa magar subh mein khaavar niklaa ghar badalne se bhi taqdir badal jaati hai siip mein paani paDaa ban ke vo gauhar niklaa jo mire zehn-o-takhayyul mein bahut unchaa thaa us kaa qad taalib-e-duniyaa ke baraabar niklaa jis ke zimme thi mire ghar ki hifaazat 'muztar' dushmanon kaa mire vo shakhs bhi ham-sar niklaa"
Muztar AzmiMuztar Azmi
Quote
"saaqi tiraa jamaal bhi meri nazar mein hai main jaantaa huun nuur jo shams-o-qamar mein hai meraa lahu bahaa ke adu mutmain nahin ab meraa khaandaan bhi us ki nazar mein hai akhbaar dekhtaa hai vo hasrat ki aankh se qaari ki zindagi kisi achchhi khabar mein hai yunhi nahin hai shaam se aankhon mein iztiraab khushbu bataa rahi hai koi rahguzar mein hai maanjhi badal badal ke miri fikr thak gai lekin miraa safina abhi tak bhanvar mein hai chhuTkaaraa paa gae hain sabhi is khayaal se insaaniyat kaa dard faqat mere sar mein hai dariyaa ke do kinaare hain milte nahin kabhi 'muztar' azal se bair yahaan khair-o-shar mein hai"
Muztar AzmiMuztar Azmi
Quote
"phuul kaa ruup khizaan mein bhi nikhar saktaa hai ye muqaddar hai kisi vaqt sanvar saktaa hai ishq kaamil ho to haarij nahin hoti maujein bahtaa dariyaa bhi bilaa rok Thahar saktaa hai ye karishma bhi mire rab ne dikhaayaa sab ko zulm kaa dev bilaa maut bhi mar saktaa hai khvaab ki chhaanv mein buzdil hi jiyaa karte hain khvaab to khvaab hai ik pal mein bikhar saktaa hai har andhere mein nikal aataa hai raushan pahlu kufr ki aag mein imaan sanvar saktaa hai tang-dil yaar pe 'muztar' na bharosa karnaa vaqt ke saath ye vaadon se mukar saktaa hai"
Muztar AzmiMuztar Azmi

More on Sad

View all →
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
A
Aiman Amritsari
Quote
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari