"jagmagaate shahr ki tah jagmagaati ret hai aasmaani khvaab hain aur kaaenaati ret hai hai samundar ke labon par shaadiyaanon ki sadaa saahilon par apni dhun mein gungunaati ret hai uDte phirte hain havaa ke saath zarron ki tarah zindagi ke roz-o-shab ki be-sabaati ret hai ye masaafat tishnagi hai aur main sahraa mein huun phaanktaa paani huun lekin munh mein aati ret hai is safar mein baarhaa aankhon ne dekhe hain saraab maujzan paani ki surat jhilmilaati ret hai ik fasaana likh rahaa hai saarbaan-e-zindagi vaaqi’aati qaafile hain haadsaati ret hai"
haae kyaa manzar the jo aankhon se ojhal ho gae — Adnan Munawar
"haae kyaa manzar the jo aankhon se ojhal ho gae hanste baste shahr bhi viraan jangal ho gae paagalon ko log to rakhte hain zanjiron mein qaid ham tiri zanjir se nikle to paagal ho gae dekh tu ne dard ke rangon se ham ko bhar diyaa dekh ham tasvir-e-gham ban kar mukammal ho gae is tag-o-dau mein ki saari 'umr ho tere liye dost ham apne liye guzraa huaa pal ho gae main khule maidaan mein yak-lakht aa kar ruk gayaa saamne the hi nahin jo dar muqaffal ho gae shahr saaraa us ki aankhon mein kahin gum ho gayaa us ko jitne dekhne vaale the paagal ho gae ham bahaane DhunDte the zindagi ke vaaste tere aane se hamaare masale hal ho gae"
ہائے کیا منظر تھے جو آنکھوں سے اوجھل ہو گئے ہنستے بستے شہر بھی ویران جنگل ہو گئے پاگلوں کو لوگ تو رکھتے ہیں زنجیروں میں قید ہم تری زنجیر سے نکلے تو پاگل ہو گئے دیکھ تو نے درد کے رنگوں سے ہم کو بھر دیا دیکھ ہم تصویر غم بن کر مکمل ہو گئے اس تگ و دو میں کہ ساری عمر ہو تیرے لیے دوست ہم اپنے لیے گزرا ہوا پل ہو گئے میں کھلے میدان میں یک لخت آ کر رک گیا سامنے تھے ہی نہیں جو در مقفل ہو گئے شہر سارا اس کی آنکھوں میں کہیں گم ہو گیا اس کو جتنے دیکھنے والے تھے پاگل ہو گئے ہم بہانے ڈھونڈتے تھے زندگی کے واسطے تیرے آنے سے ہمارے مسئلے حل ہو گئے
हाए क्या मंज़र थे जो आँखों से ओझल हो गए हँसते बस्ते शहर भी वीरान जंगल हो गए पागलों को लोग तो रखते हैं ज़ंजीरों में क़ैद हम तिरी ज़ंजीर से निकले तो पागल हो गए देख तू ने दर्द के रंगों से हम को भर दिया देख हम तस्वीर-ए-ग़म बन कर मुकम्मल हो गए इस तग-ओ-दौ में कि सारी 'उम्र हो तेरे लिए दोस्त हम अपने लिए गुज़रा हुआ पल हो गए मैं खुले मैदान में यक-लख़्त आ कर रुक गया सामने थे ही नहीं जो दर मुक़फ़्फ़ल हो गए शहर सारा उस की आँखों में कहीं गुम हो गया उस को जितने देखने वाले थे पागल हो गए हम बहाने ढूँडते थे ज़िंदगी के वास्ते तेरे आने से हमारे मसअले हल हो गए

More by Adnan Munawar
View all →"yaad-e-yaaraan ko kaf-e-dil mein chubhote hue ham ghar ke kone mein paDe rahte hain rote hue ham nim-shab aur ye aansu hain ki rukte hi nahin haae pardes mein takiyon ko bhigote hue ham har nai subh se ummid-e-paziraai liye chaadar-e-khaak ke parde mein samote hue ham raat us bazm mein ik tu hi shanaasaa thaa magar kitne tanhaa nazar aae tire hote hue ham mar hi jaaeinge tiri yaad mein yunhi kisi roz dukh ke aanchal mein kahin she'r pirote hue ham sarsaraahaT si kahin zulf-e-girah-gir mein thi Dar gae aaj tire saae mein sote hue ham"
"hai pur-raunaq magar viraan si mahsus hoti hai bhari mahfil mein bhi teri kami mahsus hoti hai use dekhun to duniyaa khub-surat lagne lagti hai use chhu luun to mujh ko zindagi mahsus hoti hai miri aankhon mein aankhein Daal kar ye to bataao tum tumhein bhi kyaa mohabbat si kabhi mahsus hoti hai tumhaaraa haath shaamil hi nahin meri tabaahi mein bataao kyon tumhein sharmindagi mahsus hoti hai main apni justuju mein jaa-ba-jaa phirtaa huun sargardaan magar duniyaa ko ye aavaargi mahsus hoti hai jahaan 'adnaan' meri maan kaa chehra saamne aae vahaan manzar mein kaisi taazgi mahsus hoti hai"
"kabhi zamin kabhi aasmaan banaataa huun yahaan main ret pe kitne makaan banaataa huun 'ajib tarz ki tasvir banti jaati hai ab is mein dekhnaa main dil kahaan banaataa huun makaan aag mein jaltaa banaa liyaa pahle ab aasmaan talak main dhuaan banaataa huun zamin pe khinch ke laataa huun abr kaa TukDaa musaafiron ke liye saaebaan banaataa huun puraane peD pe ik saanp kaa baseraa hai nai jagah pe kahin aashiyaan banaataa huun"
"ham ne qismat se jo ye vaqt guzaaraa raushan kyaa falak par hai kahin koi sitaara raushan thak gayaa huun main bahut roz ki taariki se koi kar de mire manzar ko khudaaraa raushan ai mire yaar tiri lau ki zarurat hai ki aaj mujhe karnaa hai bujhe dil ko dubaara raushan khush-nazar shakhs tu jaataa hai usi jaanib kyon jis taraf hai hi nahin koi ishaara raushan varna main chaak pe hi raakh huaa jaataa thaa tere chhune se huaa hai miraa gaaraa raushan"
"umid-vaar to barg-o-samar ke ham bhi hain shajar na kaaT ki shaakh-e-shajar ke ham bhi hain ye aur baat ki daaman na mil sakaa ham ko gire hue to kisi chashm-e-tar ke ham bhi hain subuk-ravaan-e-mohabbat na yuun hanso ham par shikasta-paa sahi is rah-guzar ke ham bhi hain ye aur baat hamaari khabar nahin rakhtaa hamein khabar hai kisi baa-khabar ke ham bhi hain ai ahl-e-qaafila tanhaa safar bhi sakht nahin hamaaraa zaad-e-safar hai safar ke ham bhi hain"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"khaamushi ke batn se ye guftani paidaa hui main ba-zaahir chup huaa aur shaaeri paidaa hui is tarah saabit huaa gham aur khushi kaa imtizaaj hanste hanste us ki aankhon mein nami paidaa hui jurm ki paadaash mein ham khaak par pheinke gae so yahaan par intiqaaman zindagi paidaa hui khauf ne hi maslahat ki raah bhi ijaad ki main andheron se Daraa aur raushni paidaa hui dil mein kab utri kisi ke be-maaani guftugu baat karne se to bas aavaaz hi paidaa hui"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"