SHAWORDS

haae laayaa na koi qaasid-e-dilbar kaaghaz — Imam Bakhsh Nasikh

"haae laayaa na koi qaasid-e-dilbar kaaghaz ho gayaa gham se hamaaraa tan-e-laaghar kaaghaz naama-e-yaar ke likhne ko mujhe arzaan hai tol de gar koi sone ke baraabar kaaghaz yuun lifaafe mein hamaaraa hai kalaam-e-shirin jis tarah baandhte hain qand ke uupar kaaghaz naa-tavaani se nahin hai mujhe mumkin harakat main huun harfon ki tarah meraa hai bistar kaaghaz haal likkhaa hai jo main ne badan-e-laaghar kaa le uDaa tinke ki maanind kabutar kaaghaz main ne likkhaa hai jo apnaa ye musibat-naama mohr karne ko karun ashk se ab tar kaaghaz mere naame ko agar dast-e-hinaai mein vo le varaq-e-gul se bhi ho rang mein behtar kaaghaz haal-e-soz-e-gham-e-furqat karun tahrir to ho kabk ki chonch qalam baal samundar kaaghaz is qadar misl-e-qalam main ne jabin-saai ki ban gayaa ghis ke dar-e-yaar kaa patthar kaaghaz yaar ne khat mein jo likkhaa hai ki na aanaa hargiz ho gayaa mere liye sadd-e-sikandar kaaghaz saath naame ke gai jaan bhi su-e-jaanaan ho gayaa taair-e-jaan ke liye shahpar kaaghaz nahin tohfa khat-e-jaanaan ke baraabar koi hai mujhe qand-o-zaqan se kahin behtar kaaghaz jaa-e-jarraah ki ab naama-bar aa pahunchaa hai badle phaahe ke rakhun daagh-e-jigar par kaaghaz kyaa main iflaas mein khat yaar ko likkhun 'naasikh' na qalam hai na siyaahi na mayassar kaaghaz"
Urdu

ہائے لایا نہ کوئی قاصد دلبر کاغذ ہو گیا غم سے ہمارا تن لاغر کاغذ نامۂ یار کے لکھنے کو مجھے ارزاں ہے تول دے گر کوئی سونے کے برابر کاغذ یوں لفافے میں ہمارا ہے کلام شیریں جس طرح باندھتے ہیں قند کے اوپر کاغذ ناتوانی سے نہیں ہے مجھے ممکن حرکت میں ہوں حرفوں کی طرح میرا ہے بستر کاغذ حال لکھا ہے جو میں نے بدن لاغر کا لے اڑا تنکے کی مانند کبوتر کاغذ میں نے لکھا ہے جو اپنا یہ مصیبت نامہ مہر کرنے کو کروں اشک سے اب تر کاغذ میرے نامے کو اگر دست حنائی میں وہ لے ورق گل سے بھی ہو رنگ میں بہتر کاغذ حال سوز غم فرقت کروں تحریر تو ہو کبک کی چونچ قلم بال سمندر کاغذ اس قدر مثل قلم میں نے جبیں سائی کی بن گیا گھس کے در یار کا پتھر کاغذ یار نے خط میں جو لکھا ہے کہ نہ آنا ہرگز ہو گیا میرے لیے سد سکندر کاغذ ساتھ نامے کے گئی جان بھی سوئے جاناں ہو گیا طائر جاں کے لیے شہ پر کاغذ نہیں تحفہ خط جاناں کے برابر کوئی ہے مجھے قند و ذقن سے کہیں بہتر کاغذ جائے جراح کہ اب نامہ بر آ پہنچا ہے بدلے پھاہے کے رکھوں داغ جگر پر کاغذ کیا میں افلاس میں خط یار کو لکھوں ناسخؔ نہ قلم ہے نہ سیاہی نہ میسر کاغذ

Hindi

हाए लाया न कोई क़ासिद-ए-दिलबर काग़ज़ हो गया ग़म से हमारा तन-ए-लाग़र काग़ज़ नामा-ए-यार के लिखने को मुझे अर्ज़ां है तोल दे गर कोई सोने के बराबर काग़ज़ यूँ लिफ़ाफ़े में हमारा है कलाम-ए-शीरीं जिस तरह बाँधते हैं क़ंद के ऊपर काग़ज़ ना-तवानी से नहीं है मुझे मुमकिन हरकत मैं हूँ हर्फ़ों की तरह मेरा है बिस्तर काग़ज़ हाल लिक्खा है जो मैं ने बदन-ए-लाग़र का ले उड़ा तिनके की मानिंद कबूतर काग़ज़ मैं ने लिक्खा है जो अपना ये मुसीबत-नामा मोहर करने को करूँ अश्क से अब तर काग़ज़ मेरे नामे को अगर दस्त-ए-हिनाई में वो ले वरक़-ए-गुल से भी हो रंग में बेहतर काग़ज़ हाल-ए-सोज़-ए-ग़म-ए-फ़ुर्क़त करूँ तहरीर तो हो कब्क की चोंच क़लम बाल समुंदर काग़ज़ इस क़दर मिस्ल-ए-क़लम मैं ने जबीं-साई की बन गया घिस के दर-ए-यार का पत्थर काग़ज़ यार ने ख़त में जो लिक्खा है कि न आना हरगिज़ हो गया मेरे लिए सद्द-ए-सिकंदर काग़ज़ साथ नामे के गई जान भी सू-ए-जानाँ हो गया ताइर-ए-जाँ के लिए शहपर काग़ज़ नहीं तोहफ़ा ख़त-ए-जानाँ के बराबर कोई है मुझे क़ंद-ओ-ज़क़न से कहीं बेहतर काग़ज़ जा-ए-जर्राह कि अब नामा-बर आ पहुँचा है बदले फाहे के रखूँ दाग़-ए-जिगर पर काग़ज़ क्या मैं इफ़्लास में ख़त यार को लिक्खूँ 'नासिख़' न क़लम है न सियाही न मयस्सर काग़ज़

haa.e laayā na koī qāsid-e-dilbar kāġhaz
Imam Bakhsh Nasikh
Imam Bakhsh Nasikh
Imam Bakhsh Nasikh
poet93 quotes

More by Imam Bakhsh Nasikh

View all →
Quote
"zaar intizaar-e-khat ne kiyaa is qadar mujhe pahchaantaa nahin hai miraa naama-bar mujhe shaakhon ki tarh saae ko rakhtaa hai dosh par gar dekhtaa hai dhuup mein koi shajar mujhe huun vo ghami ki lab na hansi se hon aashnaa divaar-e-qahqaha bhi jo aae nazar mujhe dil mein buton ke soz-e-mohabbat ne ghar kiyaa goyaa hai dakhl sang mein misl-e-sharar mujhe main sar paTak paTak ke marun yaa'ni us jagah dikhlaa diyaa qazaa ne tiraa sang-e-dar mujhe kaa'be mein jaa ke baiTh rahungaa main dekhnaa tu dair se nikaalegaa ai but agar mujhe mumkin nahin sivaae khudaa 'ilm-e-ghaib ho kyunkar sanam tiri nazar aae kamar mujhe mar jaaun peshtar main ilaahi visaal se furqat mein ziist ki ho tamanna agar mujhe sandal ki justuju hai 'abas faaeda hai kyaa ik dard-e-sar mein aur jo ho dard-e-sar mujhe thi us ke haath mein jo chhaDi aur funduqein kyaa shaakh-e-khushk mein nazar aae samar mujhe raushan dilon se rakhte hain nafrat siyaahkaar makruh jaise vasl ki shab hai sahar mujhe tere sunahre rang pe mujh ko jo hai junun atfaal karte hain hadaf-e-khisht-e-zar mujhe 'naasikh' ba-rang-e-nikhat-e-gul hai safar miraa markab huaa hai dosh-e-nasim-e-sahar mujhe"
Imam Bakhsh NasikhImam Bakhsh Nasikh
Quote
"ab ki holi mein rahaa be-kaar rang aur hi laayaa firaaq-e-yaar rang surkh-ru kar de sharaab aai bahaar hai khizaan se zard ai khummaar rang honT uude sabz khat aankhein siyaah chehre kaa surkh-o-safed ai yaar rang ham ko saare gulshan-e-aafaaq mein bas pasand aae yahi do-chaar rang ghair se kheli hai holi yaar ne Daale mujh par dida-e-khun-baar rang kis ki holi jashn-e-nau-rozi hai aaj surkh mai se saaqiyaa dastaar rang hijr-e-jaanaan mein Thahartaa hi nahin kyaa hi mere munh se hai bezaar rang kyaa hai girgiT aasmaan ke saamne badle ik ik dam mein sau sau baar rang aati hai o qais lailaa dasht mein khun-e-paa se jild ab pur-khaar rang dhuup hai par mere roz-e-hijr kaa hai ba-rang-e-saaya-e-divaar rang ho gayaa kyuun zard 'naasikh' kyaa kahun hai zamaane kaa ajab ai yaar rang"
Imam Bakhsh NasikhImam Bakhsh Nasikh
Quote
"qadah liye hue gul misl-e-baada-khvaar aayaa khizaan chaman se gai mausam-e-bahaar aayaa kisi tariq se dil mein agar ghubaar aayaa huaa yaqin ye mujh ko vo shah-savaar aayaa tamaam 'umr yuun hi ho gai basar apni shab-e-firaaq gai roz-e-intizaar aayaa gul-e-savaar-o-payaada shikast khaa gae sab chaman mein jab tan-e-tanhaa vo shahsavaar aayaa khabar kare koi zaahid ko aae bahr-e-madad shikast-e-tauba ko phir mausam-e-bahaar aayaa sharaab kyon na chale fasl-e-gul mein ai zaahid ki nahrein jaari huiin mausam-e-bahaar aayaa diye falak ne mire sar ko kaTte hi gul-daagh gila nahin koi paanv tale jo khaar aayaa chaman mein koi gul-e-tar jo shaakh par dekhaa to mujh ko yaad vo mahbub nai-savaar aayaa kabhi jo sair-e-chaman ko vo nai-savaar gayaa gul-e-piyaada ye samjhe ki gul-savaar aayaa lab us ke pista zaqan seb aankhein hain baadaam khule jo daant hansi mein nazar anaar aayaa jo gosh-e-gul na sune baagh mein to kyaa chaara qafas se naala-e-bulbul hazaar baar aayaa tiri savaari mein kab panj shaakhe hain ai sarv jilau mein sehn-e-gulistaan se hai chinaar aayaa shikast paai hai tauba ki tarah us ko bhi hamaare paas jo ai mai-kasho khumaar aayaa ye naazuki ke hain maa'ni ke baagh mein vo gul qarib aatish-e-gul jo gayaa bukhaar aayaa kabhi na qatra diyaa tu ne saaqiyaa mujh ko udhar na aatish-e-mai kaa koi sharaar aayaa misaal-e-sang-e-garaan jaan nahin jo baiTh rahun ki is jahaan mein huun surat-e-sharaar aayaa lagaa jo tiir tiraa sina-e-mushabbak mein main khush huaa ki mire daam mein shikaar aayaa dikhaa ke baagh mein aankhein chaDhi hui apni vo nashsha dida-e-nargis se aaj utaar aayaa"
Imam Bakhsh NasikhImam Bakhsh Nasikh
Quote
"rif'at kabhi kisi ki gavaaraa yahaan nahin jis sar-zamin ke ham hain vahaan aasmaan nahin do roz ek vaz' pe rang-e-jahaan nahin vo kaun saa chaman hai ki jis ko khizaan nahin 'ibrat ki jaa hai laakhon hi tifl o javaan nahin piiri mein bhi khayaal ajal kaa yahaan nahin dushman agar vo dost huaa hai to kyaa 'ajab yaan e'timaad-e-dosti-e-jism-o-jaan nahin raftaar naaz mein ye lachak jaati hai ki bas goyaa tiri kamar mein sanam ustukhvaan nahin mun'im ke shukr mein bhi hilaaein kabhi kabhi tanhaa baraae-lazzat-e-duniyaa zabaan nahin pazhmurda ek hai to shagufta hai dusraa baagh-e-jahaan mein fasl-e-bahaar-o-khizaan nahin jin ke suron par aap magas-raaan rahe humaa un kaa lahad mein aaj koi ustukhvaan nahin dhokaa na khaa zuruf-e-vazu ko tu dekh kar masjid hai mai-farosh ki 'naasikh' dukaan nahin"
Imam Bakhsh NasikhImam Bakhsh Nasikh
Quote
"sau qisson se behtar hai kahaani mire dil ki sun us ko tu ai jaan zabaani mire dil ki har naale mein yaan TukDe jigar hotaa hai bulbul aasaan nahin tarz uDaani mire dil ki honi hai shahid ek na ik roz tamannaa mauquf ho kyaa marsiya-khvaani mire dil ki piiri mein bhi miltaa hai jo kam-sin koi mahbub karti hai vahin uud javaani mire dil ki taqsim kiye paara-e-dil bazm-e-butaan mein har ek ke hai paas nishaani mire dil ki ik baat mein ho jaae musakhkhar vo pari-ru suntaa hi nahin sehr-bayaani mire dil ki hai abr to kyaa chaahe falak ko bhi jalaa de bijli mein kahaan shola-fishaani mire dil ki zulfon mein kiyaa qaid na abru se kiyaa qatl tu ne to koi baat na maani mire dil ki ye baar-e-gham-e-ishq samaayaa hai ki 'naasikh' hai koh se dah-chand giraani mire dil ki"
Imam Bakhsh NasikhImam Bakhsh Nasikh
Quote
"hai dil-e-sozaan mein tuur us ki tajalli-gaah kaa ru-e-aatishnaak har shola hai meri aah kaa vasl kyaa ham khaaksaaron ko ho is dil-khvaah kaa khaak mein aaluda honaa kab hai mumkin maah kaa nur-afshaan jab se hai dil mein khayaal us maah kaa tuur kaa shola dhuaan hai meri sham-e-aah kaa qaamat-e-mauzun nazar aae mujhe jaa-e-alif thaa shuru-e-aashiqi din meri bismillaah kaa samjhe mai-kash dekh kar abru tiri baalaa-e-chashm mai-kade se martaba aalaa hai baitullaah kaa aamad-e-khat mein to hone de nigaahon kaa guzar dekh le bachne nahin paataa hai sabza raah kaa khalq ne quraan dekhaa jab huaa maah-e-rajab ham ne dekhaa mushaf-e-rukhsaar apne maah kaa aate hi us tifl ke raushan siyah-khaana huaa shama saan jalva hai us ke qaamat-e-kotaah kaa yaar kaa 'naasikh' phaTaa hai pairahan to aib kyaa hai kataan ko chaak karnaa kaam nur-e-maah kaa"
Imam Bakhsh NasikhImam Bakhsh Nasikh

More on Sad

View all →
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
A
Aiman Amritsari
Quote
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari