"nayaa khilaa hai shagufa koi bahaar mein kyaa gundhaa huaa hai miraa dil kisi ke haar mein kyaa uDaane phuul hasin aae hain bahaar mein kyaa lagi hai aag si ye aaj laala-zaar mein kyaa kisi se kahne ye aae hain vo sahar hote tamaam-raat kaTi mere intizaar mein kyaa tumhaare khaal kaa bosa nahin hai ginti mein zaraa si chiiz hai aaegi ye shumaar mein kyaa utaar li sar-e-baazaar jis ne rukh se naqaab hijaab aae use sau main kyaa hazaar mein kyaa ye surma chashm-e-adu ke liye uThaa rakkhein vo khaak Daalte hain chashm-e-etibaar mein kyaa banaaeinge dil-e-pur-daagh jama kar ke unhein chamakte dekhe hain zarre mire ghubaar mein kyaa ye mere dosh se hote nahin judaa dam-e-naza gaDeinge mere farishte mire mazaar mein kyaa hai intizaar ki mai-nosh khum liye pahunchein ghiri hain kal se ghaTaaein ye sabza-zaar mein kyaa jo dekhe saanp ke kaaTe ki lahr use aae bharaa hai zahr ab aisaa bhi zulf-e-yaar mein kyaa sharaab se bhi sivaa khush-gavaar hai ham ko bataaein kyaa ki mazaa paD gayaa udhaar mein kyaa kanaar-e-shauq mein aa kar hasin nikal na sake asar khudaa ne diyaa hai hamaare pyaar mein kyaa 'riyaaz' tauba karo din khizaan ke aae hain tum aae piine ko jaati hui bahaar mein kyaa"
hogi vo dil mein jo Thaani jaaegi — Riyaz Khairabadi
"hogi vo dil mein jo Thaani jaaegi kyaa hamaari baat maani jaaegi Dhal chuki hai ab javaani jaaegi ye sharaab-e-arghavaani jaaegi baad-e-tauba aatish-e-sayyaal-e-khum mere ghar se ho ke paani jaaegi khizr yunhi gum raheinge umr-bhar yunhi umr-e-jaavedaani jaaegi tegh hi kyaa haath mein qaatil ke thi ai hinaa tu bhi to saani jaaegi aae taare hijr ki shab kuchh nazar ab balaa-e-aasmaani jaaegi arsh par hai khush-jamaalon kaa mizaaj kyuun kar un ki lan-taraani jaaegi khidmat-e-maikhaana kar le varna shaikh raaegaan ye zindagaani jaaegi maut se bad-tar buDhaapaa aaegaa jaan se achchhi javaani jaaegi shokhiyaan kahti hain khul kheleinge vo ab hayaa ki paasbaani jaaegi aag ban kar jaam mein aaegi mai zamzami mein ho ke paani jaaegi bosa-e-gesu se hain chin-ba-jabin raat-bhar kyaa sargiraani jaaegi bole sun kar dil ke paamaali kaa haal kis gali ki khaak chhaani jaaegi jaan se baDh kar ise rakhte aziiz kyaa samajhte the javaani jaaegi saath laae hain qafas se naa-tavaan jaate jaate naa-tavaani jaaegi naale karnaa siikh le ai andalib ab ye tarz-e-naghma-khvaani jaaegi shaikh ne maangi hai apni umr ki mai-kade se ab puraani jaaegi jaa chuke hain aap kal dushman ke ghar aaj marg-e-naa-gahaani jaaegi piine aaein to farishta-khu 'riyaaz' huur ke daaman mein chhaani jaaegi"
ہوگی وہ دل میں جو ٹھانی جائے گی کیا ہماری بات مانی جائے گی ڈھل چکی ہے اب جوانی جائے گی یہ شراب ارغوانی جائے گی بعد توبہ آتش سیال خم میرے گھر سے ہو کے پانی جائے گی خضر یوں ہی گم رہیں گے عمر بھر یوں ہی عمر جاودانی جائے گی تیغ ہی کیا ہاتھ میں قاتل کے تھی اے حنا تو بھی تو سانی جائے گی آئے تارے ہجر کی شب کچھ نظر اب بلائے آسمانی جائے گی عرش پر ہے خوش جمالوں کا مزاج کیوں کر ان کی لن ترانی جائے گی خدمت میخانہ کر لے ورنہ شیخ رائیگاں یہ زندگانی جائے گی موت سے بد تر بڑھاپا آئے گا جان سے اچھی جوانی جائے گی شوخیاں کہتی ہیں کھل کھلیں گے وہ اب حیا کی پاسبانی جائے گی آگ بن کر جام میں آئے گی مے زمزمی میں ہو کے پانی جائے گی بوسۂ گیسو سے ہیں چیں بہ جبیں رات بھر کیا سرگرانی جائے گی بولے سن کر دل کے پامالی کا حال کس گلی کی خاک چھانی جائے گی جان سے بڑھ کر اسے رکھتے عزیز کیا سمجھتے تھے جوانی جائے گی ساتھ لائے ہیں قفس سے ناتواں جاتے جاتے ناتوانی جائے گی نالے کرنا سیکھ لے اے عندلیب اب یہ طرز نغمہ خوانی جائے گی شیخ نے مانگی ہے اپنی عمر کی میکدے سے اب پرانی جائے گی جا چکے ہیں آپ کل دشمن کے گھر آج مرگ ناگہانی جائے گی پینے آئیں تو فرشتہ خو ریاضؔ حور کے دامن میں چھانی جائے گی
होगी वो दिल में जो ठानी जाएगी क्या हमारी बात मानी जाएगी ढल चुकी है अब जवानी जाएगी ये शराब-ए-अर्ग़वानी जाएगी बा'द-ए-तौबा आतिश-ए-सय्याल-ए-ख़ुम मेरे घर से हो के पानी जाएगी ख़िज़्र यूँही गुम रहेंगे उम्र-भर यूँही उम्र-ए-जावेदानी जाएगी तेग़ ही क्या हाथ में क़ातिल के थी ऐ हिना तू भी तो सानी जाएगी आए तारे हिज्र की शब कुछ नज़र अब बला-ए-आसमानी जाएगी अर्श पर है ख़ुश-जमालों का मिज़ाज क्यूँ कर उन की लन-तरानी जाएगी ख़िदमत-मय-ख़ाना कर ले वर्ना शैख़ राएगाँ ये ज़िंदगानी जाएगी मौत से बद-तर बुढ़ापा आएगा जान से अच्छी जवानी जाएगी शोख़ियाँ कहती हैं खुल खेलेंगे वो अब हया की पासबानी जाएगी आग बन कर जाम में आएगी मय ज़मज़मी में हो के पानी जाएगी बोसा-ए-गेसू से हैं चीं-ब-जबीं रात-भर क्या सरगिरानी जाएगी बोले सुन कर दिल के पामाली का हाल किस गली की ख़ाक छानी जाएगी जान से बढ़ कर इसे रखते अज़ीज़ क्या समझते थे जवानी जाएगी साथ लाए हैं क़फ़स से ना-तवाँ जाते जाते ना-तवानी जाएगी नाले करना सीख ले ऐ अंदलीब अब ये तर्ज़-ए-नग़मा-ख़्वानी जाएगी शैख़ ने माँगी है अपनी उम्र की मय-कदे से अब पुरानी जाएगी जा चुके हैं आप कल दुश्मन के घर आज मर्ग-ए-ना-गहानी जाएगी पीने आएँ तो फ़रिश्ता-ख़ू 'रियाज़' हूर के दामन में छानी जाएगी

More by Riyaz Khairabadi
View all →"ku-e-dushman se use chhup ke nikalte dekhaa ham ne naqsh-e-qadam-e-yaar ko chalte dekhaa haae kyaa haal dam-e-vasl hamaaraa hogaa bosa lene mein tumhein rang badalte dekhaa abr ban kar jo baras paDne ko aayaa vaaiz be-tarah ham ne khum-e-mai ko ubalte dekhaa ye bhi piinaa hai koi chaal hai ye bhi koi har-qadam par unhein sau baar sambhalte dekhaa yahi aankhein hain ki jin mein nahin ab naam ko ashk inhin aankhon se kabhi khuun ubalte dekhaa hashr ke roz na taab abr-e-karam ko aai mujh gunahgaar ko jab dhuup mein jalte dekhaa gesu-e-hur kaho sabza-e-turbat kaisaa qabr-e-dushman se dhuaan ham ne nikalte dekhaa kucha-e-ishq mein allaah re paa-mardi-e-dil Thokarein khaa ke use ham ne sambhalte dekhaa ghair ke ghar se jhijakte hue tum nikle the rukte dekhaa tumhein phir chhup ke nikalte dekhaa dil mein kyaa jaan thi kyaa qatra-e-khun ki thi bisaat malte dekhaa use haathon se masalte dekhaa phuul laale kaa khilaa thaa ki shafaq shaam ki thi vasl ki raat ko bhi rang badalte dekhaa kabhi kuchh raat gae yaa kabhi kuchh raat rahe ham ne in parda-nashinon ko nikalte dekhaa khun-e-dil par hai abas rashk tiri mehndi ko apni hi aag mein ham ne use jalte dekhaa dil-e-betaab thaa yaa aag ki chingaari thi kis qadar jild unhein paa-posh se malte dekhaa vaah kyaa rang hai kyaa khuub tabiat hai 'riyaaz' ho zamin koi tumhein phulte-phalte dekhaa"
"zarur paanv mein apne hinaa vo mal ke chale na pahunche aaj bhi ghar tak mire vo kal ke chale ye dosti hai ki hai saath aag paani kaa jo nikli aah to saath ashk bhi nikal ke chale lahad se laai qayaamat hai paanv paD paD kar Thahar Thahar ke chale ham machal machal ke chale hazaaron Thokarein har ik qadam par us mein hain ye raah-e-ishq hai kyuun kar koi sambhal ke chale ye mujh ko vasl ki shab haae maut kyuun aai hinaa lagaa ke jo aae the haath mal ke chale tumhaari raah mein chalne ki hai khushi aisi ki saath naqsh-e-qadam bhi uchhal uchhal ke chale mazaa to aae jo lein rind baDh ke haathon-haath mazaa to aae kahin se jo mai ubal ke chale adaa se naaz se chalnaa qayaamat un kaa thaa jo mal ke dil ko kaleje masal masal ke chale chale vo shama jalaane mazaar par kis ke ki saath saath adu aag ho ke jal ke chale tumhaare gesu-e-pur-pech ne liyaa ham ko ki munh mein saanp ke yaa munh mein ham ajal ke chale uThaa janaaza to boli ye khaana-bardaari nayaa makaan hai kapDe nae badal ke chale hazaaron daagh hain dil mein jigar mein laakhon zakhm 'riyaaz' mahfil-e-khubaan se phul-phal ke chale"
"baalaa-e-baam ghair hai mein aastaan par chaahein jise chaDhaaein huzur aasmaan par kyuun naa-muraad aah gai aasmaan par TuuTe na aasmaan kahin meri jaan par rusvaaiyaan hain saath vo chhup kar hazaar jaan sau sau ke sar jhuke hain qadam ke nishaan par aanaa use zarur go hon laakh ehtimaam aashiq hai un ki niind miri daastaan par thaa raaz-daar-e-husn vo kaafir jo kah gayaa maashuq dil ki baat na laaein zabaan par un ki gali mein raat mein is vaza se gayaa ghabraa ke paasbaan gire paasbaan par naazuk si tegh-e-yaar hai kyaa zahr ki bujhi khaae hue hai zahr mire imtihaan par bante hain shokhiyon se vo suraj bhi chaand bhi naqsh-e-qadam bhi aap ke hain aasmaan par khalvat mein bhi chali hain kahin sina-zoriyaan is tarah aap tan ke uThe kis gumaan par zikr-e-mai-e-tahur ne taDpaa diyaa 'riyaaz' jaanaa paDaa hamein kisi unchi dukaan par"
"zamin mai-kada-e-arsh-e-barin maalum hoti hai ye khisht-e-khum farishte ki jabin maalum hoti hai pari uDne mein zulf-e-ambarin maalum hoti hai ye kaali shakl bhi kitni hasin maalum hoti hai miri hasrat tabassum-aafrin maalum hoti hai chhupi tere tabassum mein nahin maalum hoti hai shafaq kah le koi chaahe shafaq-gun aasmaan kah le hamein to ku-e-qaatil ki zamin maalum hoti hai chali hai tegh to kis naaz se tham tham ke ruk ruk kar ye kuchh un se ziyaada naaznin maalum hoti hai are saaqi zaraa meri sharaab-e-talkh to laanaa mai-e-kausar to bilkul angbin maalum hoti hai chhupi hai vo nigaah-e-shokh bhi mizhgaan ke saae mein chhuri bhi aaj zer-e-aastin maalum hoti hai ubhaaro to zaraa shaayad miraa Duubaa huaa dil ho koi shai bahr-e-gham mein tah-nashin maalum hoti hai nahin ab dard-e-dil lekin abhi tak hai asar kuchh kuchh chamak rah rah ke pahlu mein kahin maalum hoti hai asar Daalaa hai hasrat ne nigaah-e-shauq par kitnaa ki vo ab bhi nigaah vaapsin maalum hoti hai ye ai sayyaad rah rah kar chamakti hai kahaan bijli jahaan meraa nasheman thaa vahin maalum hoti hai lapak us ki chamak us ki vahi dam-kham vahi aalam ye bijli koi aah-e-aatishin maalum hoti hai 'riyaaz' aisi mire dil se lagi hai jaam-e-kausar ki mai-e-angur ab achchhi nahin maalum hoti hai"
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
More on Raat
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"taavil-e-ahd-e-fan hi to vahshat kaa hal nahin pesh-e-nazar junun hai yaaro ghazal nahin ab is ke baad ahd ki taarik raat hai ye ikhtitaam-e-shaam hai subh-e-azal nahin ai dost ishq mansab-e-fahm-o-shuur hai ye irtiqaa hai zehn kaa koi khalal nahin ik umr ratjagon ki aziyyat mein kaaT di ab mere khvaab niind kaa radd-e-amal nahin kyaa kyaa ataa-e-neamat-e-rabb-e-karim hai lekin 'samir' dard kaa nemul-badal nahin"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"